Topics
Jab hum apni zameen, chaand, sooraj, kehkashani nizaam aur kainat
ki saakht par ghor karte hein toh yeh baat samnay aati he ke yeh sara nizaam ek
qaiday, zaabtay aur kanoon ke tehat kaam kar raha he aur yeh kanoon aur zabita
aisa mazboot aur mustahkam he ke, kainat mein maujood koi shey zabita aur
qaiday se ek inch ke hazaron hissay mein bhi apna rishta munqita nahi kar
sakti. Zameen apni makhsoos raftaar se mehwari aur tolani gardish kar rahi he.
Is ko apne madaar par harkat karne ke liye bhi ek makhsoos raftaar aur gardish
ki zaroorat he, aur is mein zarra barabar farq nahi hota. Pani ka behna,
bukharat ban kar udna, shadeed takrao se is ke molecules ka tootna, bijli ka
pedha hona aur mahol ko munawar karna, yeh sab ek muqarara kaiday aur zaabtay
ke tehat he. Isi tarhan hewanat, nabataat ki pedaish aur afzaish bhi ek lagey
bandhe kanoon ki pairwi kar rahi he. Insani duniya mein bhi pedaish aur
nashonuma ka nizaam ek hi chala aa raha he. Woh pedha ho kar badtha he,
ladakpan aur jawani ke zamaanon se guzar kar budapay ke daur mein daakhil ho
jatha he. Ghor talab baat yeh he ke, koi nahi chahtha ke mein booda ho jaoonga,
lekin har shakhs booda honay par majaboor he. Koi shakhs pasand nahi karta ke is
ke oopar mout warid ho; lekin duniya mein ek misaal bhi aisi maujood nahi he ke,
aadmi ne mout se nijaat haasil kar li ho. Un baton par gehray ghor o khoz ke
baad yahi nateeja samnay aata he ke, is kadar munazzam o marboot nizaam ko chalanay
wali koi hasti zaroor maujood he.
Koi is hasti ko “Bhaghwan” kehta he, koi is la zawaal hasti ka naam “God”
rakhta he. Kisi saheefay mein usay “Nirwan” ke naam se puraka gaya he. Aasmani
kitabon mein is ka naam “Allah” he. Naam kuch bhi rakkha jaye, beharaal, hum
yeh maan-ne aur yakeen karne par majboor hein ke, ek takatwar aur la-mutnahi
hasti hamein sambhale hue he aur saari kainat par is ki hukmarani he. Woh log jo
is Azeem Hasti ka iqraar nahi karte, woh zindagi ki shikast o reekht ka zimmedaar
nature ko qarar dete hein. Dar haqeeqat unke inkaar mein bhi iqraar ka pehlu
numaya he; is liye ke jab taq koyi cheez maujood nahi hoti is ka inkaar aur
iqraar zair e behes nahi aatha. Koi bandha jab apni danist mein is hasti ko samajhnay
ki koshish karta he, aur is ki samajh mein kuch nahi aatha toh is ka zehan,
inkaar ki taraf mael ho jatha he.
Har shey kisi nah kisi program ke saath takhleeq hui he. Bulaa
maqsad ya khel ke tor par koyi cheez wajood mein nahi aayi. Aam tor par insaan
ki tamam dilchaspiyan gosht posh ke jism par markooz rehti hein jabkay gosht posh
ka jism asal nahi he. Asal insaan woh he, jo is jism ko mutharrak rakhta he aur
is ki hifazat karta he.
Hum apne maadi jism ki hifazat ke liye libaas banatay hein. Libaas
khuwa kisi material ka ho jab taq gosht posh ke jism par maujood he, is mein
harkat he. Libaas ki harkat jism ke tabay he. Libaas mein apni zaati koi harkat
waqay nahi hoti. Isi tarah jab aadmi mar jaatha he toh libaas ki tarah iske
andar bhi koi zaati harkat ya qouvat mudafat maujood nahi rehti. Hum gosht posh
ke jis jism ko insaan kehte hein, woh insaan nahi he, balkay asal insaan ka
libaas he.
Nazriya rang o noor aur aqal o shaoor hamein is baat ki dawat dete hein ke hum
talaash karein ke insaan ki asal kya he? Woh kahan se aakar apne liye jismani
libaas tayyar karta he, aur phir is libaas ko utaar kar kahan chala jaatha he?
Qudrat ne insaan ko asal insaan se muta-arif karanay ke liye bohat ahem aur
mukhtasir formule banaye hein taake no-insani khud aagahi haasil karke apni
asal se waqif ho jaye.
Har makhlooq bashaoor aur ba hawaz he aur apni khudadad salahiyaton se kayam,
zindah aur mutharrak he. Nabataat, jamadat aapas mein guftagu karte hein.
Nabataat, jamadat aur zameen par maujood doosri makhlooq ki aapas mein guftagu
hamein is taraf mutwajjah karti hein ke, zameen aur zameen ke andar ke tamam
zarraat shaoor rakhtay hein. Zameen, ek maa ki tarah takhleeqi quwaton ki
haamil he. Jis tarah ek maa apne bachche ko janam deti he, isi tarah zameen
takhleeqi awamil se guzar kar aisay aisay rang bikherti he, jo aqal o danai ke
liye lamha fikarya he. Dhoop ek he, hawa ek he, chandni ek he aur fiza mein
bhikri hui gases ek hein, magar jab pani zameen ki kokh mein jazb ho jaatha he
toh itni takhliqat zahuur pazeer hoti hein jinka shumaar insaan ke bas se bahar
he. Zameen ke peit mein karoron sanche hein. Jis sanche mein pani thehr jaatha he,
pani dye ke mutabiq naya roop ikhtiyar kar letha he. Yahi pani kabhi kela ban jaatha
he, kabhi seb ban jaatha he, kabhi angoor ban jaatha he, aur kabhi phoolon ke
naqsh o nigaar bankar samnay ajaatha he. Bargad ka ek beej jo kash kaash ke
danay se bhi chhota hotha he, jab zameen ke peit mein daal diya jaatha he toh
zameen is beej ko parwarish karke tanawar darakth bana deti he. Aisa tanawar darakth,
jiske saaye mein senkdon aadmi kayam karte hein. Zameen par maujood pheli hui
maadi kainat neh insaan ko is baat ka shaoor bakhsha he ke, insaan apni aqal o
shaoor ko istemaal kare aur yeh sochey ke insaan hewanat, nabataat aur jamadat
se kis tarah mumtaz he?
Scienci duniya neh jo ilmi aur inqalabi ayjadat ki hein, un ayjadat mein physics
aur psychology sey agay parapsychology
(roohaniyat) ka ilm he. Roohaniyat darasal tafkkur, feham aur irtkaz ke formulon
ki dastaweez he. Is dastaweez ka mutalea karne ka behtareen zariya muraqaba (meditation)
he.
Muraqabe ko samajhne ke liye hamein roohaniyat ke is kanoon ko
samjhna hoga jo kanoon maadi dimagh se hatt kar nigah ya vision ke usool o
zawabit par mushtamil he. Hum jab kisi cheez ko dekhte hein toh, dekhnay ki
tarz yeh he ke, koi cheez hamaray samnay he aur hum usay dekh rahe hein. Is ke
bar aks roohaniyat hamein batati he ke, pehlay hamaray andar shey ka aks banta he
phir hum shey ko dekhte hein. Hum barah e raast kisi cheez ko nahi dekhte
balkay dimagh se dekhnay ko zehan ki screen par dekhte hein. Roohaniyat ek aisa
mechaniki nizaam he jis ki kerarian lehron ke oopar chal rahi hein. Roohaniyat
ka taalib ilm jab apni zehni tavajja ek nuqte par markooz kar deta he toh, is ke
andar maujood ghaib ki duniya mein daakhil honay ki salahiyat bedar aur
mutharrak ho jati hein. Bazahir nazar aata he ke, roohaniyat ka taalib ilm, ankhein
band kar ke khamosh betha he, magar woh zahiri hawaas ke saath baatini hawaas
mein bhi safar karta he aur is safar mein ghaib ki duniya is ke samnay hoti he.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Zaman
o makaan (time & space) ek lamhe ki taqseem dar taqseem he aur lamhe ki taqseem, ittila he; jo har aan
lehron ke zariye insani dimagh par warid hoti he. Agar hum un ittilaat ka
mukhzan (source of information) maloom karna chahein toh is ka zariya roohani
uloom he, aur roohani uloom ke liye danishwaron ko beharaal Quran mein tafakkur
karna padega.