Topics
Maujooda science daan roshni ki raftaar ek laakh cheyasi hazaar do so bayasi
mile fi second batatay hein. Yani ek second ke andar jo kuch af-aal o aamaal sarzad
hue ya ek second ki makaniyaat mein jo hawadis runuma hue, unki raftaar safar ek
laakh cheyasi hazaar do so bayasi mile he. Ek laakh cheyasi hazaar do so bayasi
mile jis makaniyaat par mushtamil hein, iski makaniyaat mein jitne hawadis
runuma hue woh ek second ke andar waqay hue aur ek second ke andar hi ek second
ki makaniyaat ke tamam af-aal sarzad hue. Agar kisi tarah un af-aal ka shumaar
mumkin ho jaye toh yeh maloom kiya ja saktha he ke, ek second kitna taweel he
aur second ki makaniyaat mein kitni wusat he.
Yeh baat ghour talab he ke, jab hum ek second ki makaniyaat ek laakh cheyasi
hazaar do so bayasi mile tasleem karte hein toh, ek second mein runuma honay
wali kainati hawadis ya kainati af-aal o aamaal tehreer mein lana mumkin nahi he.
Kainat mein teen zamane muta-arif hein.
1. Zaman haqeeqi
2. Zaman mutawatar
3. Zaman gher mutawatar
Kainat jo kadam uthati he woh ek lamhe ka paband he. Saari kainat
lamhaat mein bandh he.
Ek lamha ho ya doosra lamha ho, dono lamhaat is baat ke paband hein
ke woh lamhe ke andar maujood rahein. Lamhaat mein hi unka zahur he. Kainat
mein kisi waqt thehrao nahi he. Kainat ka har lamha mutharrak he. Kainat ka
safar ek nuqtay se doosray nuqtay ke baad teesray nuqtay mein tagayyur pazeer he.
Kainat mein har lamha ek tagayyur he. Doosra lamha doosra tagayyur he. Har
lamha alag alag wajood rakhta he. Har lamha ke hawadis juda hein. Chunkay har
lamha ke hawadis juda he, is liye lamhaat zamane ki judaghana wahdateen hein
aur har wahdat ke darmain faasla he.
Khaaliq e kainat ka irshad he,
“Mein ne aadam ke putlaay mein apni rooh phoonki. Usay ilm ashya
ataa kiya. Aadam ko khala se banaya aur is khala mein apni rooh phoonki.”
Rooh phoonknay ke baad aadam ko ilm shey ataa kiya. Ek rooh Ellahi
aur doosra ilm shey. Ilm ashya haasil honay ke baad yeh ilm hua ke ashya kya hein?
Ashya ki mahiat aur hesiyat kya he? Khud ilm ashya kya he?
Equation
Rooh e Ellahi. Aalam e Ashya. Aalam e Fitrat (Zaman Mutawatar)
Rooh e Ellahi. Rooh Ke Andar Ilm Ashya (Takveen Kainat) = Aadam
Rooh + Ilm Ashya = Aadam
Aadam barti matti (khala) he. Is khala ko pur karne ke liye rooh phoonki gayi.
Jab rooh phoonki toh, rooh ko ilm ashya ataa sun-huwa. Ilm ashya ataa honay ke
baad aadam ko zindagi guzaarne aur takveen kainat se mutaliq jo uloom haasil
hue un uloom se qawaneen fitrat ko talaash karna aalam e fitrat he. Insaan ki
fitrat yeh he ke, woh khala se nikal kar rooh mein daakhil ho, aur is rooh maarfat
ilm ashya haasil kare aur ilm ashya haasil karne ke baad gheb ka khoj lagaye.
Aadam khala he. Khala mein rooh he. Rooh mein ilm ashya he. Ilm
ashya mein aalam e fitrat (Zaman mutawatar) he.
Zaman mutawatar. Zaman gher mutawatar par kayam he. Zaman gher
mutawatar hi aalam e gheb he.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Zaman
o makaan (time & space) ek lamhe ki taqseem dar taqseem he aur lamhe ki taqseem, ittila he; jo har aan
lehron ke zariye insani dimagh par warid hoti he. Agar hum un ittilaat ka
mukhzan (source of information) maloom karna chahein toh is ka zariya roohani
uloom he, aur roohani uloom ke liye danishwaron ko beharaal Quran mein tafakkur
karna padega.