Topics
Roohani talbat aur talba yeh kanoon jantay hein ke, kainat aur yeh
saari duniya hawaas ke oopar kayam he. Hawaas mein do rukh hotay hein.
1. Woh hawaas, jin mein tagayyur
hota rehta he. Jaisay jaisay tagayyur waqay hota he isi munasbat se rang pedha
hotay hein.
2. Woh hawaas jin mein tagayyur waqay nahi hota. Jahan tagayyur
nahi hota wahan be rangi hoti he.
Hawaas mein tagayyur varaye be rang se hota he. Varaye be rang mein
tagayyur se ek aisi rangeeni pedha hoti he jo be rangi kehlati he. Be rangi
mein tagayyur pedha hota he toh hawaas mein ek ek rang pedha ho jaatha he aur
yeh bohat saare rang jama ho kar kainat ban jaathay hein.
Wahima se tagayyur ki shuruvaat hoti hein. Yeh tagayyur khyaal aur
tasawwur ki rahein tey karke mehsoos ban jaatha he. Khyaal, tasawwur aur mehsoosaat
ek dairay mein safar karte hein. Jis tarah khayalat aur tasawurat mehsoosaat
ban-nay ke liye safar karte hein, isi tarah yeh dobarah palat the hein. Khyaal,
tasawwur aur ehsas jin marahil se guzar kar kisi maqam par theherthe hein, is
maqam ko samajh aur is maqam ka mushahida karne ke liye hamein teen shawaron se guzarna padta he aur teen shawaron se guzar
kar jis maqam par gher mutagheyar maqam aata he nazriya rang o noor ke
peirokaar is maqam ko lashaoor ka naam dete hein.
Hum jab mazhab ki taraf rujoo karte hein aur ilm nabuwat mein ghor
o fikr karte hein toh aasmani kitaaben hamari rahnomai karti hein ke un
shawaron ke ilawa shaoor awwal aur shaoor doyam bhi hein. Alfaaz ki kami ke
baais hum un dono shawaron ko lashaoori shumaar kaheinge. Yani ek woh shaoor jo
awam se muta-arif he, ek woh shaoor jo kisi hadd taq mufakreen aur science
danon se muta-arif he aur woh shaoor jo sirf ilm nabuwat se haasil ho sakthe hein.
Hum jab kainat ki saakht mein tafakur karte hein toh hum dekhte hein ke, kainat
ki saakht mein ek shaoor aur teen lashaoor paye jaathay hein. Is ki equation is
tarah he.
Pehla Shaoor.. .. .. .. .. .. Shaoor Awwal
Doosra Shaoor.. .. .. .. .. .. Shaoor Doyam
Teesra Shaoor.. .. .. .. .. .. Shaoor Soyam
Choutha Shaoor.. .. .. .. .. .. Shaoor Chaharum
In chaaron shaooron mein se shaoor awwal ki hesiyat la makan ki he,
aur baqi teen shaoor makaan hein. Yeh teeno shaoor is liye makaan hein ke un
mein tagayyur paaya jaatha he aur pehla ek shaoor chunkay tagayyur se azad he, is
liye yeh la makan he.
Makaniyat, lamakaniyat ka safar karne ke liye sab se pehlay hamein kainat
ke andar maujood mehwari gardish ko samjhna padega. Is ke baad tolani gardish
ko.
Misaal:
Hum glass dekhte hein ya glass par nazar padthi he toh, glass ki pehchan
ke liye hamein nuzool o saood ke che dairon se guzarna padta he. Pehlay hamaray
andar glass ka
1. Wahima pedha hota he. Wahima mein jab geherai pedha hoti he toh,
2. Khyaal ban jaatha he. Yani hum jab glass dekhte hein toh pehlay
glass ka ek heavily hamaray zehan mein warid hota he. Is heavily mein naqsh o
nigaar nahi hotay lekin naqsh o nigaar ka aks zehan par padta he. Aisa aks jis
ko dekh kar glass ko mehsoos kar sakthe hein, lekin dekh nahi sakthe. Phir yahi
khyaal aur gehra hota he toh,
3. Tasawwur ki shakal ikhtiyar kar letha he aur jaisay hi tasawwur
ki shakal ikhtiyar karta he,
4. Ehsas ka darja haasil kar letha he. Foran hi ehsas,
5. Tasawwur mein, aur tasawwur
6. Khyaal mein muntaqil ho jaatha he.
Yahi wajah he ke hum ek waqt glass ko dekhte hein; doosray waqt
glass nahi hota. Yani hum ne jab glass ko dekha pehlay hamaray zehan par wahima
warid sun-huwa. Aisa wahima jis ko hum alfaaz mein bayan nahi kar sakthe. Khyaal
mein ek shakal o soorat aayi. Is shakal o soorat ne jab geherai ikhtiyar ki toh,
tasawwur ban gaya. Haqeeqat yeh he ke, hum maadi glass ke na honay ke bawajood
glass ko dekh rahe hein, aur jab yeh tasawwur ghera ho jaatha he toh, hamaray
andar glass ko dekhnay ka ehsas pedha ho jaatha he aur hum glass ko dekh letay hein
aur choo letay hein.
Yeh baat bohat ghor talab he ke, is kainat mein jo kuch bhi he woh mehwari aur
tolani gardish mein safar kar raha he. Mehwari gardish ka matlab yeh he ke,
harkat ka ek nuqta se shuru ho kar isi nuqta par khatam hona, mehwari gardish
ka yeh kanoon hi darasal poori kainat ko mutharrak kiye hue hein. Nuzool o saood
ka yeh amal ek second ke hazaron hissay mein waqay hota he aur ek second ke hazaron
hissay mein do baar yeh palat jaatha he aur baar baar is ka iada hota rehta he.
Baar baar is ka iada jis raftaar se hota he woh raftaar itni taiz hoti he ke
hum har ek cheez ko apne samnay sakit mehsoos karte hein. Halaanke kainat mein
koi shey sakit nahi he. Kainat mein agar koi shey sakit ho jaye toh poori kainat
fanaa ho jaye gi. Baat sirf itni he ke kainat ki raftaar itni taiz he ke hum usay
sakit mehsoos karte hein.
Insaan do shaooron se murakkab he. Ek shaoor se aamatul naas waaqif
hein aur doosray shaoor se aamatul naas waaqif nahi hein. Jo log ghor o fikr
karte hein, woh waaqif hein. Waaqif karon neh do shaooron ko alag alag karne ke
liye ek shaoor ka naam lashaoor rakh diya he yani aisa shaoor jo aamatul naas ke
shaoor se mawrah he. Is shaoor aur lashaoor mein woh tamam uloom aajaathay hein,
jin par ayjadat ho rahi hein. Aaj ka science daan insaan ke andar maujood doosray
shaoor yani lashaoor se waaqif ho gaya he. Jab is ne lashaoor ke andar rehtay
hue tahaqeeq o justojoo ki, aur kisi shey ki quna taq pounchnay ki koshish ki,
toh nateejay mein ayjadat ka silsila shuru ho gaya. Ab hum aam duniya se hatt
kar aasmani uloom ki taraf mutwajjah hotay hein.
Jab hum aasmani kitabon ka mutalea karte hein aur is mein tafakkur
karte hein toh, tareekhi shawahid batatay hein ke, is duniya mein aisay log bhi
pedha hue hein, jinhone ilm iktisabi seekha hi nahi. Arz yeh karna he ke, unhone
aamtul naas ke shaoor mein rehtay hue koi ilm nahi seekha, koi ustaad nahi
banaya, lekin is ke bawajood woh no insaan ke liye uloom ka samandar chod gaye.
Ilmi taraqqi aur nayi nayi ayjadat mein tafakkur talab baat yeh he
ke, koi bhi taraqqi koi bhi ijaad duniya mein maujood wasail se bahar nahi he.
Wasail honge toh ijaad hogi. Wasail nahi honge toh ijaad aur taraqqi nahi hogi.
Koi bhi ijaad wasail ki mohtaaj he. Yani doosra shaoor (lashaoor) kadam kadam
par wasail ka mohtaaj he. Teisray lashaoor mein hamaray samnay anbia ki zaat
aati he, un ayjadat mein wasail zair e behas nahi atay. Maslan Hazrat Eesa aleh
salam andhon ko benaye ataa kar dete they. Ganjon ke sir par baal aajaathay
they aur haath phernay se korh khatam ho jaatha tha. Yeh aisa ilm he jisay
ijaad ya taraqqi ka naam nahi diya ja sakta. Is ilm ko moujza kehte hein. Taraqqi
mein wasail zair e behas atay hein. Moajezae mein wasail zair e behas nahi
atay.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Zaman
o makaan (time & space) ek lamhe ki taqseem dar taqseem he aur lamhe ki taqseem, ittila he; jo har aan
lehron ke zariye insani dimagh par warid hoti he. Agar hum un ittilaat ka
mukhzan (source of information) maloom karna chahein toh is ka zariya roohani
uloom he, aur roohani uloom ke liye danishwaron ko beharaal Quran mein tafakkur
karna padega.