Topics
Nazriya rang o noor hamaray oopar munkashif karta he ke, roohaniyat
par ab taq jitni kitaaben likhi gayi hein un mein mawarai uloom ka tazkara toh
kiya gaya he lekin, is ilm ko ek jama kiya "Doh aur doh jama doh"
chaar ki tarah aam nahi kiya gaya. Bohat se ramooz o nakaat bayan kiye gaye hein,
lekin be shumaar asaraar parday mein hein.
Mahireen kehte hein ke, mawarai uloom chunkay muntaqil hotay hein,
is liye, unko mehfooz rehna chahiye aur unki hifazat karni chahiye. Roohani
uloom haasil honay ke baad unke nataij (mafooq alfitrat baton) ko chhupa lena
chahiye. Aisa kyun hua? Ek hi baat samajh mein aati he ke, insanon ke andar
sochnay samajh aur ilm haasil karne ki salahiyat itni maujood na thi jitni aaj maujood
he. Science ke is taraqqi yafta daur se pehlay daur, daraaz awazon ka pohanchna
karamat samjhi jati thi. Lekin ab science daano aawaz ka tole mouj daryaft kar
liya he. Khayalat ka ek jagah se doosri jagah muntaqil hona bhi karamat (mafooq
alfitrat) bayan kiya jaatha tha. Aaj ki duniya mein hazaron meel ke faasle par
poori poori tasweerein muntaqil ho jati hein. Ziyada arsa nahi, sirf pachaas
saal pehlay logon se yeh kaha jaatha tha ke aadmi roshiniyon ka bana hua he toh
log mazaq udatay they. Aaj science ne yeh saabit kar diya he ke, aadmi lehron
ka murakkab he. Nah sirf yeh ke unhon ne yeh baat bata di ke aadmi lehron se
murakkab he, balkay ab yeh mumkin ho gaya he ke kisi jagah se guzar jaane ke
baad tasweer li ja sakti he.
Pehlay zamane mein dadi aur nani bachchon ko udan khatolhon ke kissay
sunaya karti theen ke ek udan khatolh tha is par ek shehzadi aur shehzada baitey
aur udgaye. Nani aur dadi ke udan khatolh (hawai jahaaz) aaj hamari aankhon ke
samnay maujood he. Hum is mein bait kar apni marzi aur mansha ke mutabiq safar
bhi karte hein.
Un misalon se yeh batana maqsood he ke science ki taraqqi se pehlay
no-insani ki salahiyat itni nahi thi ke mawarai ramooz o nakaat is ki samajh
mein aajaathay. Yahi wajah he ke roohani science ke mahireen pehlay chand logon
ka intikhab karte they aur unko uloom muntaqil kar dete they; lekin is daur
mein insaan ki dimaghi salahiyat aur tafakkur itna ziyada he ke, jo cheez
pehlay kashaf o karamaat samjhi jati theen ab woh batein insaan ki aam zindagi
mein daakhil ho gayi hein. Jaisay jaisay uloom ke zariye insaan ki sakth badhti
gayi, shaoor takatwar hota gaya. Zahanat mein izafah hua. Gehri baton ko samajh
aur jan-nay ki sakth badi. Science ki taraqqi se yeh nuqsaan bhi hua ke, jaisay
jaisay shaoor ki taaqat badhi isi munasbat se aadmi ke andar yaqeen ki taaqat
kamzor hoti chali gayi.
Yaqeen ki taaqat kamzor honay ka matlab yeh he ke, aadmi Mawrah Hasti
se door hota chala gaya. Is ki bunyadi wajah yeh he ke, science ki taraqqi ka matma
nazar ziyada tar duniyawi asayish o araam ka husool bangaya he. Duniya chunkay
be yakeeni ka symbol aur fiction he aur mafrooza hawaas ke ilawa koi hesiyat
nahi rakhti, is liye yeh taraqqi bhi no-insaani ke liye azaab bangayi. Agar is
taraqqi ki buniyaad zahiri asbaab ke saath mawarai salahiyat ki talaash hoti toh,
yaqeen kamzor honay ke bajaye takatwar hota. Is ke bawajood scienci uloom ke
phelao se itna faida zaroor hua ke, no-insani ke andar mawarai uloom haasil
karne ka zouq pedha hua he.
Pachaas ya so saal pehlay jo salahiyat pachaas pachaas, so so saal
ki riyazat ke baad haasil hoti thi, ab woh salahiyat iradhe ke andar yaqeen
mustahkam honay se chand mahino mein bedar aur mutharrak ho jati he.
Mawarai zindagi mein daakhil honay ka matlab yeh nahi ke, aadmi
khana na khaye, pani na piye, kapday na pehnay, is ke dost ahbaab na hon, yeh
sab is liye hona zaroori he ke duniya ko wajood bakhshnay wali mawarai hasti is
duniya mein ronakein dekhna chahti he. Is duniya ko kayam rakhna chahti he. Is
duniya ko khoobsoorat dekhna chahti he. Asbaab o wasail jab taq duniya mein maujood
hein, duniya maujood rahe gi. Jo wasail maujood hein, woh pedha hotay rahenge
aur unse duniya mein rehne walon ko faida pohonchta rahe ga.
Nazriya rang o noor is baat ka dars deta he ke, duniya mein rehtay
hue duniya ke saaray kaam pooray kiye jayen. Accha khana khayein, behtareen
libaas pehne, chatni ke saath murgh bhi khayein. Lekin har kaam aur har amal ka
rukh is zaat mutlaq ki taraf mode dijiye jis ne yeh duniya banayi. Khana is liye
khayein ke Allah chahta he ke bandha khana khaye, bandhe khana nahi khayenge toh
duniya veeraan ho jayegi. Pani is liye piyein ke Allah chahta he bandha pani
piye taa ke Allah ka lagaya hua baagh (duniya) sirsabaz o shadaab rahe. Aap
biwi bachchon se mohabbat karein lekin yeh mohabbat is liye karein ke Allah chahta
ke biwi bachchon se mohabbat ki jaye taake unki sahi tarbiyat ho, aur woh
hewanat se mumtaz ho kar zindagi guzarein. Mawrah Hasti chahti he ke hum apne bachchon
ki tarbiyat is tarah karein ke insani iqdaar aam hon aur bhed bakriyon se
mumtaz ek muashra kayam ho.
Roz marrah zindagi mein jo cheez sab se ziyada ahem he woh rozi aur
rizaq ka haasil karna he, is liye ke, rizaq haasil kiye bagher zindagi ek kadam
bhi agay nahi badh sakti. Hamari zindagi mukhtalif marahil aur zamanon se
muzayyan he. Zindagi ke kayam ka pehla zamana ya marhala aisi bandh khotri he
jis mein bazahir na hua ka kuzaar he aur nah hi is khotri mein insaan ke apne
iraday aur ikhtiyar se kahney peenay ki cheezein muheya hoti hein, aur nah hi is
khotri mein rehtay hue woh apni rozi haasil karne ke liye mehnat o mushaqqat
karta he. Lekin usay rizaq milta he, is ki nashonuma hoti he. Is nashonuma ka
daur nau (9) mahinay ki zindagi par mushtamil he. Maa ke pait mein bachcha batadreej
aur tawazun ke saath badtha rehta he aur is ki saari ghizai zarooriyat poori
hoti rehti hein. Nau (9) mahinay ke baad mukammal aadmi ki shakal o soorat
ikhtiyar karke bachcha is band khotri se bahar aajaatha he. Ab bhi woh is kabil
nahi he ke, apni zarooriyat khud poori kar sakay. Is ki zindagi ko nashonuma
dainay ke liye Mawrah Hasti ne maa ke dil mein mohabbat daal di aur saath hi
maa ke seenay ko is bachche ke liye doodh ka chashma bana diya. Bachcha bagher
kisi jad-o-jehad ke, ghiza haasil karta rehta he aur is ki parwarish hoti rehti
he. Bachpan se guzar kar ladakpan ke zamane mein bhi is ki tamam zarooriyat ka
kafeel Mawrah Hasti ne is bachche ke maa baap ko bana diya he. Shaoor ki duniya
mein daakhil honay ke baad yeh inqilab barpaa hota ke woh sochta he ke mujhe
rizaq haasil karne ke liye kuch karna hoga woh is tukdon mein apni pichli saari
zindagi ko faramosh kar deta he. Mawrah Hasti ne jis tarah maa ke dil ko
mohabbat se maamoor kar diya he, isi tarah zameen ke dil mein bhi apni makhlooq
ki mohabbat daal di aur usay paband kar diya ke woh zameen par abad makhlooq ki
khidmat kare. Is tarah chaand aur sooraj ko bhi khidmat guzari ke liye paband
kar diya he. Zameen agar apna iradah aur ikhtiyar istemaal karke ghehoon na
ugaye, sooraj apni roshni aur dhoop se gandum ya chawal ko na pakaye toh ghizai
zarooriyat poori nahi hongi. Jab zameen par koi cheez pedha nahi hogi toh no-insaan
aur doosri noyein zindah nahi raheingi.
Roohani tarz e fikr ko apnane ke liye yeh zaroori he ke pehlay
Mawrah Hasti ki makhsoos tarz e fikr ko qubool kiya jaye phir tarz e fikr wali
hasti se talluq kayam kar liya jaye. Yeh talluq usih waqt kayam ho saktha he
jab tarz e fikr haasil karne wala is hasti ke aadaat o atwaar ko apni aadaat o
atwaar apnale aur jiski tarz e fikr haasil karna maqsood ho woh bhi doosray
aadmi ko apna qurb ataa kar de aur is ko apni jaan ka ek hissa samjhe.
Hamaray andar jab koi taqaza pedha hota he toh is ki ittila warid
hoti he ke jism apni anrji aur taaqat bahaal rakhnay ke liye kisi cheez ka
mutalba kar raha he. Hamein yeh ittila milti he ke, jism ko garam o sard wasail
ya khurd o nosh ki zaroorat he. Is nuqtay par un tamam cheezon ke nuqoosh ban jaathay
hein aur yeh nuqoosh hi jismani nashonuma ki buniyaad bantay hein. Isi soorat
mein khaney peenay aur istemaal ki doosri cheezon ke andar kaam karne wali lehrein
insaan ko apne andar khenchnay lagi hein.
Hum kehte hein ke, hum roti khatay hein, sahih baat yeh he ke gandum
ke andar ki roshni ya energy hame apni taraf khinchti he aur jab hum is ki
taraf poori tarah mutwajjah ho jaathay hein toh, hamaray andar ki bhook gandum
ke andar jazb ho jati he. Mafhuum yeh he ke, hum chawal ya gandum nahi khatay
balkay chawal ya gandum hamein kha jaathay hein. Gandum ke andar kashish saqal maujood
he, kashish saqal hamein kheanch lete hein, hum kashish saqal ko nahi khenchte.
Jab hamaray andar yeh taqaza poori gehraion ke saath sargaram amal ho jaatha he
toh hamein bhook ka ehsas hota he. Ehsas se morad yeh he ke, ab hum bagher
khana khaye nahi reh sakthe. Yahi woh nuqta he, jahan khana mazhar ban jaatha he.
Roz marrah ki zindagi, rehan sehan aur muashray mein raaij ikhlaqi
qawaneen o zawabit (tabeeyat) se har shakhs apne ilm ki hudood mein waqfiyat
rakhta he. Tabeeyat ke baad, doosra ilm jo aam zehan se oopar ke darjay ka ilm he.
Ahal danish ne is ka naam nafsiat rakhha he. Nafsiat mein woh baatein zair e behas
aati hein, jin par tabeeyat ya shaoor ki bunyadi kayam hein.
Har no mein bachche apni makhsoos no ke naqsh o nigaar par pedha
hotay hein. Ek billi admion se kitni hi ziyada manoos ho, is ki nasal billi hi
hoti he. Kabhi yeh nahi dekha gaya ke bakri se gaaye pedha hoti ho ya gaaye se
kabootar pedha hua ho.
Shikam madar mein ek taraf noi tasawurat bachche ko muntaqil hotay hein
aur doosri taraf maa aur baap ke tasawurat bachche ko muntaqil hotay hein. Un
tasawurat mein mutayyan mikdareinkaam karti hein.
“Buland martaba he woh zaat jis ne takhleeq kiya aur makdaroon ke saath
hidaayat bakshi.” (Quran)
Yeh mikdareinhi no ko alag alag karti hein. Takhleeqi formulon mein
jab yeh mikdareinbakri ke rang o roop mein tabdeel hoti hein toh, bakri ban
jati hein; aur jab yahi mikdareinaadam ke naqsh o nigaar mein tabdeel hoti hein,
toh aadmi ban jaatha he.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Zaman
o makaan (time & space) ek lamhe ki taqseem dar taqseem he aur lamhe ki taqseem, ittila he; jo har aan
lehron ke zariye insani dimagh par warid hoti he. Agar hum un ittilaat ka
mukhzan (source of information) maloom karna chahein toh is ka zariya roohani
uloom he, aur roohani uloom ke liye danishwaron ko beharaal Quran mein tafakkur
karna padega.