Topics

Kainat ek kunba he

Alameen ke teen rukh hein. Ek rukh noorani aalam he. Doosra rukh roshni ka aalam he. Teesra rukh takhleet ya aalam e nasoot ka aalam he. Noor ki duniya mein daakhil honay ke baad hamaray oopar musheet ka inkishaaf hota he. Musheet mein daakhil ho kar Allah ki zaat ka inkishaaf hota he.

Aalam e nasoot mein rooh e hewani ka arif warood, khanood ya muraqbe mein yeh dekh letha he ke rooh e hewani, makaniyaat mein band ek rukh he aur insaan paband hawaas mein qaid he. Rooh e hewani se nikal kar jab insaan rooh e insani mein daakhil hota he toh yeh dekh letha he, sun letha he, aur mehsoos kar letha he ke, insaan ke andar ek aisi salahiyat maujood he, jis ko istemaal kar ke woh makaniyaat se azad ho saktha he. Woh yeh bhi jaan letha he ke, insaan mehez makaniyaat ke khadd-o-khaal par kayam nahi he balkay un khadd-o-khaal par roshiniyon ka ek ghilaaf chada hua he jo rajsmati wajood roshni ke tane banay par bana hua he. Usay yeh bhi ilm ho jaatha he ke insaan ki raftaar safar aur raftaar parwaaz roshni ki raftaar ke barabar he.


Dono rukh alag alag honay ke bawajood ek doosray se juda nahi hein.

Waraq ke do safhaat ki tarah aapas mein miley hue hein.

Makaniyaat, zamaniyaat ki bisaat par kayam he.

Aalam e bedaari mein zamaniyaat pas parda hoti he; jab ke makaniyaat ghalib hoti he.

Aalam e khwab mein makaniyaat, zamaniyaat mein paivest aur maghloob ho jati he.

Kainati formulon ko samajhne ke liye yeh baat zehan nasheen hona zaroori he ke, jab kainat mein khadd-o-khaal zahir hotay hein toh zaman parday mein chala jaatha he aur jab kainat ke andar maujoodaat ki tasweerein khadd-o-khaal se mawrah ho jati hein toh makaan, zaman mein paivest ho jaatha he. Kainat makaniyaat mein zahir hoti he toh usay nazooli harkat kaha jaatha he aur jab makaniyaat pas manzar mein chali jati he toh usay saodi harkat kaha jaatha he. Nuzool o saood ka poora silsila loh e mehfooz par naqsh he. Loh e mehfooz aur aalam e nasoot ke darmain ek parda he. Nazooli harkat mein aalam e nasoot aur loh e mehfooz ke darmain jo parda (screen) waake he, is ko barzakh kaha jaatha he. Loh e mehfooz se chalne wali tasweerein jab aalam e nasoot mein khadd-o-khaal ke saath mazhar banti hein aur mazhar bankar loh e mehfooz ki taraf saood karti hein, tab bhi loh e mehfooz aur aalam e nasoot ke darmain ek parda (screen) he. Jisay aaraf ke naam se jana jaatha he.

Allah aseer he, khebar he, aleem he, mohabbat karne wala he, Allah ka zehan bhi he. Khaaliq e kainat ke zehan mein yeh baat aayi ke apne taaruf ke liye aisi takhleeq amal mein laaye jis takhleeq mein hafza bhi ho, fikr bhi ho, baseerat bhi ho, uloom seekhnay ki tamam tar salahiyaten bhi maujood hon. Taake makhlooq apne Khaaliq ko pehchan le. Tamseelan hum is baat ko is tarah bayan karte hein, Allah ek zaat he is ke zehan mein baitey baitey khyaal aaya ke aisi kainat banani chahiye jo mukammal ho aur is kainat ke afraad mein aisay muntakhib afraad hon jo mujhe pehchan saken aur un afraad ka mere saath talluq bhi kayam ho. Jab Allah ne irada kiya toh Allah ke zehan mein jo kuch jis tarah maujood tha, amal mein aagaya. Program ka pehla marhala aalam e arwah amal mein aaya. Aalam e arwah ke baad doosra aalam “loh e mehfooz ” wajood mein aaya. Loh e mehfooz par kainat ki har harkat, kainat ka har har lamha, aur kainat ke andar jitni nauon hein is no ke har fard ki ijtimai film ban gayi. Phir is program ko harkat ke saath mazahrati shakal o soorat de di gayi. Jis aalam mein kainat ne noi aitbar se mazahrati khadd-o-khaal ikhtiyar kiye yani film ka yakjai program noi aitbaar se alag alag hua, is aalam ko aalam e misaal ya barzakh kehte hein. Aalam e misaal ki film jab infiradi soorat mein zahir hui aur jahan noi program infiradi soorat mein nashar ho raha he, yeh aalam “aalam e nasoot ” he.


Iradah Allha “Kun” se Khaaliq e kainat ke zehen mein jo kuch jis tarah maujood tha wajood mein aagaya. Aalam e arwah kainat mein harkat ki yeh tarz mutayyan hui ke anwaa aur har no ke afraad ki ijtimai film bangayi

Loh e mehfooz.

Aglay marhalay mein yakjai program

Harkat ke aglay marhala mein yakjai program noi aitbaar se alag alag ho gaya. Aalam e misaal

Aalam e barzakh.

Aalam e misaal ki film infiradi soorat mein zameen ki screen par nashar ho rahi he. Aalam e nasoot shaoori duniya he. Jab ke is se pehlay ke alameen lashaoori duniya se talluq rakhtay hein. Aalam e nasoot, nazooli harkat ki intehaa he. Yahan se nazooli harkat saoodi harkat mein badal jati he 

Aalam e araaf.

 

Tashreeh:

Har shey agar ek taraf nuzool kar rahi he toh doosri taraf saood kar rahi he, iska matlab yeh hua ke, kainat ki har shey la mahdudiaat mein aakar is baat ka taaruf karati he ke, Allah ki zaat gher mehdood he. La mahdudiaat Allah ki zaat he aur mahdudiat makhlooq he. Makhlooq ya mahdudiat hi darasal kainat he. Kainat teen dairon par mushtamil he.

Kainat ka pehla daira, “Madiyat” he.

Kainat ka doosra daira, “Hewaniyat” he.

Kainat ka teesra daira, “Insaaniyat” he.

Kharji duniya aur kharji duniya mein jitni bhi cheez hein, unki harkaat o saknaat ek makaniki amal ke tehat jari o saari hein, aur is mechanism ki buniyaad madiyat he. Madiyat jis mechanism par jari he, is mechanism ke nateejay mein jamadat, nabataat bantay hein. Doosray mehdood dairay se hewanat, bashmole insaan ki taamer ka aaghaz hota he. Kainat ke teen dairay nuzool se saood aur saood se nuzool mein radd o badal ho rahe hein. Har daira tahleel hokar doosra daira ban raha he.

Banda jab Allah se muta-arif hota he toh muta-arif honay ki do tarzain kayam hein. Ek tarz yeh he ke, woh Allah ki sifaat se muta-arif hota he. Doosri tarz yeh he ke, woh zaat se muta-arif hota he. Jab koi banda sifaat se muta-arif hota he toh woh Allah ko Allah ki sifaat mein dekhta he. Is ke bar aks jab koi banda Allah ko Allah ki zaat mein dekhta he toh darasal woh mehez apni fikr wajdani se Allah ki qurbat ko mehsoos karta he.

Kainat ki saakht aur is saakht mein mukhtalif mikdarein aur un mikdaron se tarteeb pa kar mukhtalif noyein har no mein makhsoos khadd-o-khaal, makhsoos sifaat aur phir ek no se doosri no ka Ilmi aur sifaati ishtiraaq har no ke alag alag afraad aur afraad ke aapas mein rishta, ek no ke afrad ka doosri no ke afraad se bahami rishta har zee aqal aur zee feham aadmi ko is taraf mutwajjah karta he ke, kainat ek kunba he aur is kunba ka koi sarparast aala he woh kainat mein koi bhi no ho ya kisi bhi no ka koi bhi fard ho woh poori kainat se apna rishta munqita nahi kar sakta. Woh kainat mein maujood noen ya ajraam samawi ke uloom se waqfiyat rakhta ho ya nah rakhta ho, lekin bahami aur makhfi rishta har haal mein kayam he. 

 


Nazariya Rang o Noor

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Zaman o makaan (time & space) ek lamhe ki taqseem dar taqseem he aur lamhe ki taqseem, ittila he; jo har aan lehron ke zariye insani dimagh par warid hoti he. Agar hum un ittilaat ka mukhzan (source of information) maloom karna chahein toh is ka zariya roohani uloom he, aur roohani uloom ke liye danishwaron ko beharaal Quran mein tafakkur karna padega.