Topics
Duniya mein hazaron insaan baste hein. Har insaan doosray ki
zindagi se nawaqif he. Har insaan ki zindagi ek aisa raaz he jis ko doosray
nahi jantay. Is raaz ki badolat har insaan apni ghaltion ko chupaye hue khud ko
behtar paish karne ki koshish karta rehta he aur khud ko misali bana kar doosaron
par zahir karna chahta he. Agar is ki ghalatiyan logon ke samnay hote toh phir
woh khud ko behtar zahir karne ki koshish nah karta aur zindagi ka irtiqa bhi
amal mein nahi aata. Insani saakht ki yahi khasusiyat usay janwaron se mumtaz
karti he. Har ek hewan ke aamaal mutayyan hein. Hewan ke mutayyan aamaal ko har
hewan ka shaoor poori tarah jaanta he chunkay janwaron mein infiradi tor par ek
doosray ke darmain parda haail nahi he, aur har hewan doosray hewan ki zindagi
se poori tarah waaqif he is liye koi hewan khud ko doosray hewan ke samnay
misali bana kar paish nahi karta.
Khud ko chhupana aur ghaltion par parda daalnay ka jazba hi insaan ko doosron
se mumtaz karta he. Insani saakht ka shaoori imtiaz hi tamam uloom o fanoon ka
mukhzan he. Insaan ki yeh koshish ke woh khud ko doosron ke samnay misali bana
kar paish karna chahta he, is ko naye naye raston ki talaash ki taraf mael
karti he. Naye naye raston ki talaash aur nayi nayi ayjadat ki koshish hi
darasal insani irtiqa ka raaz he. Yahi shaoor insaan ko kainat ki doosri tamam makhlooqaat
se mumtaz karti he. Yeh aisi koshish aur jad-o-jehad he jis jad-o-jehad aur
koshish se woh uloom hasooli se guzar kar mawarai aalmeen mein daakhil ho jaatha
he. Yahi koshish aur justojoo he jo, naye naye raston ko talaash karti he, naye
naye uloom ki daagh bail daalti he. Naye naye falsafon ko kayam karti he aur
naye naye falsafon se beshumar uloom ki shaakhein muratab karti he. Yeh sab
irtiqai amal hein. Irtiqai amal hi ilm e hasoli ka zariya he. Lekin ilm e hasoli
ke tehat jitni bhi aikthiyaraat hoti hein, woh mafrozat aur falsafon par mabni hein.
Sadhu kabeer daas kehte hein:
Rangi Ko Kahen Narangi, Tinat Maal Ko Khoya.
Chalti Ko Kahen Gaadi, Dekh Kabeera Roya.
Narangi phal ka chilka, phaank, phaank ke andar goda, goday ke
andar beej, beej ke andar giri, har cheez ka rang mukhtalif he. Lekin duniya
walay usay narangi se mosoom karte hein. Doodh se haasil shuda johar ko khoya
yani “kho diya” kaha jaatha he. Bhagat kabeer kehte hein, yeh kaisi andher
nagri he jahan har cheez ko woh naam de diya gaya he jo woh nahi he.
Jab hum insani zindagi ki sakht aur irtiqa ke baarey mein soch
bichaar karte hein aur kainati nizaam mein zindagi ka mutalea karte hein toh,
hum yeh jaan letay hein ke har insaan doosray insaan ki zindagi se nawaqif he.
Har insaan jaanta he ke, meri zindagi ke baarey mein mere ilawa doosra koi
shakhs nahi jaanta. Insani zindagi ka yahi chhupa hua rukh insaan ko hewanat se
mumtaz karta he. Yani insaan hewanat se is liye mumtaz he ke, hewanat mein akhfa
nahi he. Is poori wazahat se yeh nateeja muratab hua ke, insaan ki khasusiyat
yeh he ke, woh apni ghaltion ko chupata aur achhayiyon ko bayan karta he.
Insani saakht ka yeh shaoori imtiaz hi darasal isko uloom o fanoon ki taraf
mutwajjah karta he.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Zaman
o makaan (time & space) ek lamhe ki taqseem dar taqseem he aur lamhe ki taqseem, ittila he; jo har aan
lehron ke zariye insani dimagh par warid hoti he. Agar hum un ittilaat ka
mukhzan (source of information) maloom karna chahein toh is ka zariya roohani
uloom he, aur roohani uloom ke liye danishwaron ko beharaal Quran mein tafakkur
karna padega.