Topics
Fard ki ek harkat jismani khadd-o-khaal ke saath waqay hoti he.
Jismani khadd-o-khaal ke saath waqay honay wali harkat ko hum munfarid ya
ikhtiyaari harkat nahi keh sakthe. Yeh harkat beharhaal kisi nah kisi harkat ke
tabay he. Jismani khadd-o-khaal ke saath jo harkaat sadir hoti hein, woh tamam shaoori
harkaat hein, jinko kharji zindagi kaha jaatha he. Is ke bar aks jis makhfi
ehsas ke oopar jismani wajood harkat karta he, woh dakhli zindagi ya fard ka lashaoor
he. Kharji aur dakhli zindagi ki misaal yeh he ke, pani ek zaroorat ya tashnagi
he. Pyaas shey ka ek rukh he aur pani doosra rukh he. Pyaas rooh ki shakal o
soorat aur pani jism ki shakal o soorat he. Jab hum pyaas ka tazkara karte hein
toh hamaray zehan mein do rukh atay hein. Ek rukh rooh aur doosra jism. Yeh
dono rukh kabhi ek doosray se judda nahi hotay. Agar duniya se pyaas ka ehsas
khatam ho jaye toh pani bhi fana ho jaye ga. Pani is liye maujood heke pani ki
rooh maujood he. Zindagi ka taaruf khadd-o-khaal aur naqsh o nigaar ke bagher
mumkin nahi he. Zay nadki ka ek hissa khadd-o-khaal aur naqsh o nigaar par
mushtamil he aur doosra hissa raftaar ke oopar kayam he.
Ek bachcha jab peda hota he, makhsoos khadd-o-khaal aur naqsh o
nigaar ke saath duniya mein aata he. Unhi makhsoos khadd-o-khaal ke saath saath
sattar saal zindah rehta he, naqsh o nigaar aur khadd-o-khaal mein jaisay
jaisay tabdeeli waqay hoti he, jaisay jaisay kado qaamat mein izafah hota jaatha
he, tabdeeli nazar aati he. Pedaish se saath sattar saal ka waqfa zahiri aankh
se nazar nahi aata. Zindagi jis waqt par rawan dawaan he, jis ko shaoor din aur
mah o saal mein record karta he, is ko hamari zahiri aankh nahi dekh sakti.
Zindagi ka ek rukh aankhon ke samnay rehta he, aur doosra rukh aankhon se ojhal
rehta he. Woh rukh jo aankhon ke samnay he aur jis mein hum naqsh o nigaar aur
khadd-o-khaal ka badna ghatna dekhte hein, sab ka sab makaan (space) he aur jis
khala mein yeh khadd-o-khaal ghat rahe hein aur bud rahe hein, aur jo aankhon
se ojhal he, woh zaman (time) he. Insaan
jahan se aaya he anay ke baad is ka bachpan, ladakpan, jawani, budhapa ya
marnay ke baad jahan chala gaya woh time he aur insaan jis tarah bachpan,
jawani aur budhapay ko khadd-o-khaal ke saath mehsoos kiya woh space he. Jab hum zaman ka tazkara karte hein toh
nazriya rang o noor ke mutabiq saari kainat zamaniyaat mein ek doosray ke saath
hum rishta he, aur jab hum makaniyaat ka tazkara karte hein toh, kainat noi
aitbaar se aur infiradi aitbaar se alag alag he. Hum bhed, bakri, bandar,
chooha, kutta aur insaan ki zindagi ka tazkara karte hein toh, zindagi aur
energy sab mein mushtarik he. Jab hum noi aitbaar se kainat ka tazkara karte hein,
ya space kay hudood ka tazkara karte hein, toh chooha, bandar aur haathi alag alag
khadd-o-khaal mein nazar atay hein.
Takhleeqi formula yeh bana ke zindagi do rukhon par kayam he. Ek
rukh zaman he aur doosra rukh makaan he. Jo ek taraf ghattha he doosri taraf badtha
he aur record ho jaatha he.
Zindagi jis rukh par kayam he, sab ka sab time he. Zindagi jis rukh par ghatt rahi he, bud rahi he,
ya fanaa ho rahi he sab ka sab space he.
Zamaniyaat ya time mein kainat ka har fard ek doosray ko pehchanta he
aur ek doosray se muta-arif he. Sooraj ki misaal hamaray samnay he. Sooraj jis tarah
hamari khidmat guzari mein masroof he isi tarah zameen par maujood har makhlooq
ki khidmat guzari mein masroof he. Nau crore teis laakh mile ke faasle par jab
hum zameen se sooraj ko dekhte hein toh, hamari nigah cover chashmi mehsoos
nahi karti. Is ka mafhuum yeh he ke, jab hum apna rishta zamaniyaat se kayam
kar letay hein, toh hamaray liye faasle madoom ho jaathay hein. Hamari aankh jo
chund so foot se agay nahi dekh sakti nau crore tees laakh mile door dekh leti he.
Kainat mein ya afraad kainat mein taaruf ke liye jo roshni zariya
ban rahi he woh azal se ek hi tarz par kayam he. Kainat ke tamam afraad ki rooh
ek he; lekin jismani khadd-o-khaal alag alag hein. Jahan rooh ek he wahan har shey
mein ishtiraaq he, maslan bhook bakri ko bhi lagti he, bhook insaan ko bhi
lagti he, kabootar ko bhi lagti he, bhook ka lagna zamaniyaat he. Lekin
infiradi tor par jab khadd-o-khaal
makaniyaat bantay hein toh ghiza alag alag ho jati he. Bhook lagna zamaniyaat
par kayam he aur bhook ko mukhtalif cheezon se rafa karna space ya makaniyaat he.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Zaman
o makaan (time & space) ek lamhe ki taqseem dar taqseem he aur lamhe ki taqseem, ittila he; jo har aan
lehron ke zariye insani dimagh par warid hoti he. Agar hum un ittilaat ka
mukhzan (source of information) maloom karna chahein toh is ka zariya roohani
uloom he, aur roohani uloom ke liye danishwaron ko beharaal Quran mein tafakkur
karna padega.