Topics
Quran pak mein he:
“Hum ne har cheez ko moueen mikdaron mein pedha kiya he.”
Taffakur kiya jaye toh, saari kainat mein yahi kanoon jari o saari he.
Har cheez har no apni makhsoos moueen mikdaron ke saath kayam he, aur usay
barqarar bhi rakhti he aur nasal dur nasal unhi moueen mikdaron ko muntaqil
karti rehti he. Maslan billi ki nasal kutta nahi hoti, bakri ke batan se sher pedha
nahi hota aur no-insani se insaan ke ilawa doosri koi no takhleeq nahi hoti.
Kanoon yeh bana ke, har no apni moueen mikdaron ki wajah se apna alag
tashkees rakhti he aur unhi moueen mikdaron ki nasal dur nasal muntaqili se har
no ka alag alag tashkees kayam rehta he.
Moueen mikdarein kya hein?
Moueen mikdarein darasal roshniyan hein, jo ek khaas tanasub se
radd o badal ho kar kisi no ki takhleeq karti hein. Un takhleeq karne wali roshiniyon
ko azeem roohani science daan Qalandar Baba Aulia ne nasma murakkab ka naam
diya he.
Quran is haqeeqat ko in alfaaz mein bayan karta he,
“Allah roshni he asmanon aur zameen ki.”
Hazrat Eesa aleh salam nE farmaya he:
God said light and there was light
“Allah ne kaha roshni! Aur roshni maujood ho gayi.”
Kerlen photography ke zariye nasma ke roshan aks ki tasweer ko
science daan kerlen ne aura ka naam diya he.
Parapsychology ki lamehdood nazar hamein batati he ke, yeh moueen mikdarein
kis tarah display karti hein. Roshiniyon ki yeh moueen mikdarein kahin electron,
proton aur neutron ki soorat mein apna muzahira kar rahi hein, toh kahin
chromosome ki moueen tadaad mein fa-aal aur mutharrak hein. Is baat ko samajhne
ke liye kayi misalein hamaray samnay hein.
Kisi bhi ansar ko agar dekha jaye toh har ansar ka atom ka number
aur atom ka weight hota he.
Yeh atom ka number kya he?
Yeh kisi ansar mein maujood electron ya proton ki tadad ko zahir
karta he yani har ansar ek makhsoos tadaad mein maujood electron ya proton ka
muzahira he. Agar kisi tareeqay se is ansar mein maujood proton ki tadaad ko
tabdeel kar diya jaye toh yeh ansar iski tabdeeli ke mutabiq doosre ansar ki heyat
ikhtiyar karega.
Nazriya rang o noor ka shaoor hamein batata he ke, jandaroon mein
roshiniyon ki yeh moueen mikdarein chromosome ki shakal mein apna muzahira
karti hein.
Mahireen jiyaat is haqeeqat se poori tarah waaqif hein ke har no ke
liye chromosome ki alehda aur makhsoos tadaad he. Billi ke liye alehda, bakri
ke liye alehda, sher ke liye alehda aur insanon ke liye alehda chromosome ki tadaad muqarrar he.
No-insani mein chromosome ke 22 jodey (kal 29 chromosome) hotay hein. Roshiniyon ka makhsoos tanasub ya moueen mikdarein
darasal kisi no ka takhleeqi formula he. Yahi noi formula nasal dur nasal
muntaqil hota rehta he. Jis ki wajah se kisi makhsoos no ka apna alag tashkees
barqarar rehta he.
Noi formule ki moueen tadaad nasal dur nasal kaisay barqarar rehti he?
Is ko samajhne ke liye hamein takhleeqi amal ka jaiza lena hoga. Insani jism
mein har waqt khalion ki toot phoot aur taqseem jari rehti he. Is taqseem se
naye naye khaliye taamer hotay rehtay hein. Naye bannay walay tamam khalion
mein chromosome ki tadaad wohi rehti he
jo ke puranay khalion mein thi. Yani puranay khalion mein 49 chromosome hein
toh naye bannay walay khaliyaat mein bhi 49 chromosome honge. Lekin toleedi nizaam mein jahan takhleeqi
khaliye yani sperms (mard mein) aur ova (aurat mein) bantay hein, khalwi
tahkeef is tarah hoti he ke, khalion mein chromosome ki tadaad aadhi reh jati he.
Quran pak mein takhleeqi amal ko baday aasaan piraye mein bayan kiya
gaya he.
“Aur Hum ne banaya aadmi ko bajri matti se. Phir Hum ne rakKha is nutfa
ko qarar makeen (reham madar) mein phir banaya nutfa se alqa, phir banaya is
alqa se mazgha, phir banaya mazgha se asma, aur phir chadhaya asma par lahma,
phir utha kar khada kiya is ko ek nayi soorat mein. So badi barkat Allah ki jo
sab se behtar bananay wala he.”
Sperm yani nutfa aur ovaabis mein miley aur milaap ke nateejay mein
jo cheez bani is ko Quran hakeem alqa (zygote) ka naam deta he. Alqa taqseem dur
taqseem ho kar mazgha (blastocyst) ki shakal ikhtiyar kar letha he.
Alqa bannay ke saat ya aath din baad qarar makeen yani reham madar
mein apni jagah bana letha he. Mazgha jahan par apni jagah bana letha he, wahan
par iski aur maa ki sharianon aur wareedon ki chote chote jallain ban jati hein
jo ke aapas mein bohat qareeb hoti hein. Isi rabita ke zariye bachche ko khuraak
milti he. Ab mazgha se asma bana, aur isi asma par gosht chada yani ibtidayi
shakal mein bachcha (embryo) wajood mein aagaya. Phir usay mukammal bachcha bangaya.
Yeh sara takhleeqi amal reham madar mein hota he.
Bachcha ladka ya ladki hota he, agar nasma murakkab mein kaam karne wali roshiniyon ka rang lateef he, ya roshiniyon ki density kam he, toh ladki pedha hogi aur agar roshiniyon ki density ziyada he, toh ladka pedha hoga. Is baat ko wazeh tor par samajhne ke liye hum phir chromosome ki taraf atay hein.
No-insani mein maujood chromosome ke 23 jodon mein woh jora sex chromosomes
kehlata he aur yeh muzakar aur monas mein mukhtalif hota he. Muzakar mein yeh
xy ki shakal mein hota he aur monas mein yeh xx ki shakal mein hota he.
Agar moueen mikdaron ke makhsoos process se takhleeqi amal mein roshiniyon
ki density ziyada hojaye toh x aur y chromosome aapas mein mil jaathay hein. Is
amal se muzakar jins ki takhleeq hoti he (y chromosome mein kaam karne wali
roshiniyon ki density ziyada hoti he). Agar roshiniyon ki density kam he yani
roshiniyon mein latafat ziyada he toh x aur x chromosome ke milnay se monas
jins ki takhleeq amal mein aati he.
Takhleeqi lehaaz se aurton mein neela rang ghalib hota he aur
mardon mein gulaabi rang ghalib hota he. Chromosome ki saakht par agar ghor kiya
jaye toh yeh baat samnay ajati he ke, yeh jodon ki shakal mein hotay hein. Un
mein se har jodey ka ek baazu maa ki taraf se aur doosra baap ki taraf se hota he. Chromosome
protein aur DNA sey milkar bana he.
DNA ki ikai ko gene kaha jaatha he. Gene hi ke zariye maa baap ka shaoor aur
aadaat o atwaar bachche ko muntaqil hotay hein. Mahol se bachcha jo kuch
seekhta he woh bhi isi gene mein store hota he. Vrasti bemariyan, khayalat o
tasawurat, salahiyaten, shakal o shabahat, blood group, rang o roop, khandani iqdaar
sab kuch gene mein record ki soorat mein maujood he. Maadi tor par dekha jaye
toh gene darasal noi record he.
Bachche ka aadha shaoor walidain se banta he aur aadha shaoor mahol
se banta he. Nasma pehlay khyaal qubool
karta he phir yeh khyaal gene taq pohanchatha he aur yahi gene khaliya ko hidayat
deta he aur khyaal ko amli jamea pehna deta he. Saari zindagi unhi hidayat par
amal daraamad hota rehta he.
Douran hamal kis tarah maa ke tasawurat bachche par asar andaaz
hotay hein is ki bohat si misalein maujood hein. Maslan douran hamal agar maa
pareshan he, be sukoon he, toh bachcha dimaghi tor par kamzor hota he.
Misaal:
Ek angraiz maa ke batan se ek aisa bachcha pedha hua jis ke naqsh o
nigaar aur rang habshi nazaad bachchon ki tarah the. Mota naak naqsha,
ghongriyalay baal, siyah rang, chaura chukla seenah aur mazboot asaab, bachcha
ki pedaish ke baad baap ne is haqeeqat ko tasleem nahi kiya ke bachcha is ka he.
Jab maamla bohat ziyada ulajh gaya aur tahaqeeq o tafteesh apni intahaa ko
pohanchi toh yeh raaz khula ke maa hamal ke zamane mein jis kamray mein rehti
thi, wahan deewar par ek habshi bachche ka photo awezan tha. Baday baday
nafsiat daan, danishvaron aur doctoron ka board betha aur bahami salah o
mashwaray aur afham o tafheem se yeh baat tey payi ke is kamray mein ek habshi bachche
ka photo laga hua tha aur aurat hamal ke zamane mein bachche se fitri aur tabee
tor par qareeb rahi aur baar baar habshi bachche ko dekhti rahthi thi. Dekhnay
mein itni geherai pedha ho gayi ke is ki feeling (feeling) peit mein maujood bachche
mein muntaqil ho gayi.
Doosra tajurbah yeh kiya gaya ke, doosri baar jab woh umeed se hui
toh wahan ek khubsoorat angraiz bachche ka photo awezan kiya gaya aur tajribati
tor par maa ko hidayat ki gayi ke is photo ko ziyada se ziyada dekha jaye. Is
ka nateeja yeh nikla ke pedha honay walay bachche ke nuqoosh taqreeban wohi
they jo deewar par lagey hue photo ke they.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Zaman
o makaan (time & space) ek lamhe ki taqseem dar taqseem he aur lamhe ki taqseem, ittila he; jo har aan
lehron ke zariye insani dimagh par warid hoti he. Agar hum un ittilaat ka
mukhzan (source of information) maloom karna chahein toh is ka zariya roohani
uloom he, aur roohani uloom ke liye danishwaron ko beharaal Quran mein tafakkur
karna padega.