Topics
Hawaas ki do tarzain hein. Hawaas ki ek tarz yeh he jis ko hum
zahiri zindagi mein mehsoos kar ke koi kulia kayam karte hein. Hawaas ki doosri
tarz yeh he ke, jahan hawaas ki asal se ya hawaas ki quna se behas ki jati he.
Zahir hawaas wala koi bandah zahir wajood ko awliyat de kar wajood ke batin ko
samajhne ki koshish karta he. Baatini hawaas wala banda hawaas ko wahan talaash
karta he jahan se hawaas bantay aur takhleeq hotay hein. Yeh hawaas taqseem ho
kar kainat bantay hein aur kuch hawaas gher munqasim rehtay hein. Gher munqasim
hawaas woh hein jo abhi taq taqseem ho kar mazhariyat khadd-o-khaal mein
muntaqil nahi hue. Munqasim hawaas hi khud ko azal se abadd taq roop de kar kainat
ki shakal o soorat mein paish karte hein. Munqasim hawaas mein shakal o soorat ka
hona zaroori he, shakal o soorat ki do tarzain hein. Shakal o soorat ki ek tarz,
maadi he doosri tarz noorani he. Maadi shakal o soorat se rooh ka suraagh milna
mumkin nahi he. Rooh se maadi shakal o soorat ki quna taq pohonch jana yakeeni he.
Jab taq rooh madiyat ko sambhale rehti he, madiyat kayam rehti he aur jab rooh
madiyat se dastbardar ho jati he madiyat fanaa ho jati he.
Kainat mein haal aur mustaqbil mehez mafrooza he, saari kainat
maazi he.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Zaman
o makaan (time & space) ek lamhe ki taqseem dar taqseem he aur lamhe ki taqseem, ittila he; jo har aan
lehron ke zariye insani dimagh par warid hoti he. Agar hum un ittilaat ka
mukhzan (source of information) maloom karna chahein toh is ka zariya roohani
uloom he, aur roohani uloom ke liye danishwaron ko beharaal Quran mein tafakkur
karna padega.