Topics
Jab insani shaoor vahm, khyaal aur tasawwur ki taraf mutwajjah hota
he toh, is ka rukh mufrad roshni ki taraf hota he aur jab vahm, khyaal,
tasawwur se nikal kar mehsoosaat ki hudood mein daakhil hota he toh, shaoor
murakkab roshni se muta-arif hota he. Ab hum is tarah kahenge ke, shaoor ke tagayyur
se waaqif honay ka amal hi shaoor ki hasti he.
Rooh noor ke lamhaat mein safar karti he. Insani zehan roshni ke
lamhaat mein safar karta he.
Misaal:
Zaid ek fard he. Sawal kiya jaye ke Zaid kon he? Toh yeh kaha jayega
ke Zaid falan ka beta he. Falan ka bhai he. Zaid aalam he. Zaid ki umar pachees
saal he. Zaid khush ikhlaq he. Zaid aqalmand he. Nojawan he. Wajeeh he. Burdbar
he. Un tamam baton ka matlab yeh hua ke, hum Zaid ki sifaat ka tazkara kar rahe
hein. Yani, Zaid bohat saari sifaat ka majmoa he aur yeh tamam sifaat Zaid ke ausaf
hein. Hum gosht post aur haddion se banay hue Zaid ka tazkara nahi karte balkay
Zaid ki sifaat ka tazkara karte hein.
Agar hum Zaid ki zindagi ka tajzia karein toh kahenge ke, Zaid un sifaat ki
film he. Zaid ki yeh sifaat, ya Zaid ki yeh zindagi darasal is ki ek film he.
Agar Zaid se mutaliq iske ausaf ki film aur film ke andar aasaar o ahwaal o
hawadis ko lapet diya jaye toh yeh Zaid ki zindagi ka ek lamha bana.
Yani beshumar lamhaat ka majmoi naam Zaid he. Yeh wohi Zaid he jis
ko hawaas dekhte hein, chutay aur jantay hein. Zaid beshumar lamhaat ki lapeti
hui sar basta film he.
Hum jab kisi shey ko dekhte hein, toh gher mutawatar lamha
darmiyani faasle ko hamari la ilmi mein is tarah naap letha he ke, nah toh shey
ki roshni zehan se hawa bhar alag rehti he aur nah zehan ki satah mein daakhil
hoti he. Yahi wajah he ke, hum shey ko dekh sakthe hein. Zehan shey se hawa
bhar alag rahe ya hawa bhar shey mein daakhil ho jaye usay hum nahi dekh sakthe.
Aaj ke baad purson ka din us waqt taq nahi aasaktha jab taq kal ka
din nah guzar jaye. Is tarah January aur September ke mahinay us waqt taq nahi
ayenge jab taq darmiyani mahinay nah guzar jayen. Hum jab zeenay se utartay hein
toh zeenay ki seediyon ka naap jo pehlay se record he, hamaray kadmon ki sahih rahnumayi
karta he. Isi liye zeenay utarne mein shaoori tor par sochna nahi padta. Kabhi
kabhi aisa hota he ke, kadam dagmaga jaatha he ya hum gir padte hein, is waqt
kisi wajah se hamara zehan record (Zaman gher mutawatar) se hatt jaatha he. Woh
rahnumayi jo zaman gher mutawatar kar raha he, zaman mutawatar ke hathon mein
aajati he. Jiske sabab kadam ghalti kar jaathay hein aur aadmi gir jaatha he.
Zeenay ka naap zaman mutawatar mein record nahi hota. Gher mutawatar zaman mein
record hota he.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Zaman
o makaan (time & space) ek lamhe ki taqseem dar taqseem he aur lamhe ki taqseem, ittila he; jo har aan
lehron ke zariye insani dimagh par warid hoti he. Agar hum un ittilaat ka
mukhzan (source of information) maloom karna chahein toh is ka zariya roohani
uloom he, aur roohani uloom ke liye danishwaron ko beharaal Quran mein tafakkur
karna padega.