Topics

Tahaqeeq Aur Talaash

Kisi ilm ki quna taq pounchnay ke liye geherai taq jana zaroori he. Saathi soch se kisi ilm ki quna taq pohanchna mumkin nahi he. Duniya ka koi bhi ilm aisa nahi he jis mein tahaqeeq, tajassus, talaash aur geherai maujood nah ho. Jaisay jaisay hum kisi ilm ke andar tafakkurkarte hein, isi munasbat se is ilm mein hamein naye naye nuqtay nazar atay hein aur jab hum un nakaat par aur ziyada gehri nazar se tafakkurkarte hein toh ilm ki be shumaar shaakhein ban jati hein. Jis ilm ke baare mein jitne ziyada log tafakkurkarne walay maujood hotay hein, ya kisi ek ilm ki research mein jitne ziyada bahosh dimagh shaamil ho jaathay hein, woh ilm isi munasbat se taraqqi karta rehta he aur mabsoot ilm ban jaatha he. Aisa ilm jis ka apna ek nazriya, ek falsafah aur apna ek tarz istadlaal hota he.

Maujooda daur mein scienci uloom mein bhi yahi amal karfarma he. Ek science daan ne ilm ke kisi ek shoba par tafakkurkiya aur tafakkurkarte karte woh kisi misbet nateejay par pouncha aur mar gaya. Doosray science daan ne is ilm ko agay badhaya aur nateejay mein kuch roshan pehlu aur numaya ho gay. Isi tarah ziyada se ziyada aali dimagh is tahaqeeq mein shareek hotay rahe aur ilm ki ek hesiyat kayam ho gayi. Ek theory ban gayi. Phir yeh ilm aur agay badha aur is mein mazeed ba himmat, bazoq dimagh shareek hue aur is theory ko practical ki soorat de di gayi. Nateejay mein ek aisa ilm tashkeel pa gaya jis se koi aqal ka andha bhi inkaar nahi kar sakta. Har naye ilm ko ilmi hesiyat dainay aur awam al naas se muta-arif karne ke liye is ilm ki mukhtalif tarzon mein, mukhtalif baraon mein, misalon se aur nayi nayi targhibat aur tashbihaat se tashreeh ki jati he. Jaisay jaisay yeh tashrihat dimagh ke oopar warid hoti hein, shaoor un se aashna hota rehta he. Nateeje mein shaoor geherai mein safar karne lagta he. Taalib ilm jab shaoor ki geherai mein daakhil hojaatha he toh, is ke samnay lashaoor ka darwaaza khul jaatha he. Jab koi roohani musafir, ilm Ellahi ke rastay par safar karta rehta he aur shaoor ki geherai se guzar kar lashaoor ki geherai mein daakhil ho jaatha he toh, is ke oopar varaye lashaoor ka darwaaza khul jaatha he. Varaye shaoor aisa ilm he ke, jahan insaan jaan letha he ke kainat kis ne banai he, kis tarah bani. Kainat ki takhleeq mein kon kon si maslhatin karfarma hein.

Agar insaan ke andar tafakkur ki rahein maujood hon toh theory se guzar kar practical mein daakhil hona, kainat aur kainat bananay walay ko jaan lena, is se humkalam hona aasaan amal ban jaatha he.


Nazariya Rang o Noor

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Zaman o makaan (time & space) ek lamhe ki taqseem dar taqseem he aur lamhe ki taqseem, ittila he; jo har aan lehron ke zariye insani dimagh par warid hoti he. Agar hum un ittilaat ka mukhzan (source of information) maloom karna chahein toh is ka zariya roohani uloom he, aur roohani uloom ke liye danishwaron ko beharaal Quran mein tafakkur karna padega.