Topics
Kaha jaatha he ke, zameen se qous o quzah ka faasla taqreeban nau
crore meel ke faasle par waqay he. Yani hamari nazar mein itni wusat he ke, hum
nau crore meel dur dekh sakthe hein.
March 1978 hamza mein shea shuda kitaab “Rang aur roshni se ilaaj”
mein darj he ke, rang o noor ki jo kirnein sooraj se hum taq muntaqil hoti
rehti hein, unka chhotey se chhota jazo photon kehlatey he. Foton ka ek wasf
yeh he ke, is mein space nahi hota. Is mein lambai, chodaai, motai nahi he. Is liye
jab yeh kirnon ki shakal mein pheltay hein toh, ek doosray se takrate nahi, nah
ek doosray ki jagah letay hein. Baalfaz deegar yeh jagah nahi roktay. Is waqt
taq jab taq doosray rang se nah takrayen. Aap kya samjhe roshni aur rang
(makaniyaat) kya he?
Fiza mein jis kadar anasir maujood hein, un mein se kisi ansar se
foton ka takrao hi usay makaniyaat banata he. Hamein yeh toh ilm he ke, hamaray
kehkashani nizaam mein bohat se sooraj hein. Woh kahin nah kahin se roshni laatay
hein. Unka darmiyani faasla kam se kam paanch noori saal bataya jaatha he.
Jahan un ki roshniyan takrata hein. Woh roshniyan mikdaron aur qasmon par
mushtamil hein. Woh roshniyan chunkay qasmon aur mikdaron par mushtamil hein, is
liye halqay bana deti hein. Jaisay hamari zameen aur sayyaray. Is ka matlab yeh
hua ke, sooraj se ya kisi aur star sey jis ki tadaad hamaray kehkashani nizaam
mein do kharab batayi jati he, unki roshniyan arbon, kharbon, sankhon par
mushtamil hein. Jahan unka takrao hota he wahin ek halqa ban jaatha he jisay
sayyarah kehte hein.
Space ke chhotey se chhotey zarray ko electron ketay hein. Jahan electron
aur foton dono takrate hein, wahin se nigah rang ya roshni dekhna shuru kar
deti he. Rang jab roshni mein mazhar bana toh, tabeeyat ka falsafah wajood mein
aaya. Tabeeyat mein dilchaspi lainay walon aksar nazriya izafiyat ke baray mein
padha hoga o rasna hoga. Aam tor par is ko mushkil nazriya samjha jaatha he. Is
ko samajhne mein jo mushkil darpaish hoti he, woh nazriya izafiyat ki wusat he.
Nazriya izafiyat ka khulasa yeh he.
1. Kainat mein waqt aur faasle ki mutlaq koi hesiyat nahi he.
2. Kainat laa-mehdood nahi he.
3. Kainat tedhi he jis tarah zameen tedhi he.
4. Sooraj ki shuayen jis waqt kisi sayyaray ke paas se guzarti hein,
toh kashish saqal ke baais tedhi ho kar is sayyaray ki taraf mael ho jati hein.
Taalib ilm jab tabyaati nazriya izafiyat se guzar kar nazriya rang
o noor ki izafiyat ki taraf mutwajjah hota he toh, wahan usay arbon kharbon duniyaon
par mushtamil kainati nazar aati hein.
Azeem roohani science daan
Qalandar Baba Aulia apni kitaab, “Loh o Qalam” mein likhte hein ke:
“Kainat ki doh sthin hein. Agar hum ek satah ko kal zaat kahein toh
doosri satah ko yak zaat kahein ge. Kal zaat chhotey se chhotey aur baday se
baday zarraat (chaand, sooraj, mareekh, waghera) ka bast (base line) he, yani chhotey
se chhota zarra baday se bada kurrah jin roshiniyon ka majmoa he, woh saari
roshniyan kal zaat ke ajzaa hein. Agar hum, un roshiniyon ko dekh saken toh yeh
tasawurat ki soorat mein nazar ayengi. Yahi tasawurat kal zaat internal self
sey yak zaat personal ego mein muntaqil hotay hein. Unka muntaqil hona kal zaat
par munhasir he. Kal zaat jin tasawurat ko yak zaat ke supurd kar de, yak zaat
inhein qubool karne par majaboor he. Ghulaab ko kal zaat se wohi tasawurat
muntaqil hotay hein jo ghulaab ki shakal o soorat mein takhleeq paate hein. Is tarah
insaan ko bhi kal zaat se wohi tasawurat muntaqil hotay hein jo insani shakal o
soorat ka mazhar hein. Kal zaat insaan ka lashaoor he aur lashaoor hi khud apne
jism ki takhleeq karta he. Aam zabaan mein jis ko matter kaha jaatha he, woh lashaoor
ki machine ka bana hua he. Samjha yeh jaatha he ke, kharij se jo ghiza insaan
ko milti he, is se khoon aur jism banta he. Yeh qiyaas ghalat he. Darasal insaan
ka lashaoor tasawurat ko roshni se madday ki soorat mein badal dalta he. Yahi
madah jismani khadd-o-khaal aur shakal o soorat mein muta-arif hota he. Jab lashaoor
(kal zaat) kisi wajah se tasawurat ko madday mein muntaqil karne ka ihtimaam
nahi karta toh mout waqay ho jati he.”
Yak zaat aur kal zaat ke darmain, roshni ek parda he. Is roshni ke
zariye kal zaat ke tasawurat yak zaat ko wusool hotay hein. Kal zaat jo itlaat
yak zaat ko deti he, un itlaat ko, roshni rang o roop aur abbadat kar, yak zaat
taq pohanchati he.
Zaman o makaan do cheez nahi hein. Roshni se milnay wali itlaat ki
jo satah nazar se ojhal he, is ka naam zaman (time) he, aur jo satah nazar ke
samnay he, is ka naam makaan (space) he.
Agarche kainat ki banawat bohat ziyada paicheeda nahi magar fikr
insani namanos honay ki wajah se is ko paicheeda samjhti he.
La tanhaeyat ke aalam se tamam kehkashani nizamon ko idraak taqseem
hota he. Yeh idraak la shamr lamhaat se guzarta he. Yahi lamhaat kehkashani
nizamon ki shakal o soorat ikhtiyar kar letay hein. Jab hum nazriya izafiyat
mein zamaniyaat aur makaniyaat ka tazkara karte hein toh darasal unhi lamhaat
ka tazkara karte hein. Yeh lamha kya he? Yeh lamha ek nuqta he aur is nuqte
mein hi saari kainat band he. Nuqte ka khulna ya nuqta ki harkat idraak he.
Idraak hi hamein zamaniyaat aur
makaniyaat se azad kar deta he, aur idraak hi makaniyaat aur zamaniyaat mein band karta he. Kainat ke
idraak mein harkat hoti he. Khud la tanhaeyat mein harkat nahi hoti yeh harkat ek
unit he. Is unit ki doh sthin hein. Ek ka naam zaman he aur doosri ka naam
makaan he. Zaman, kainat ki base aur makaan kainat ke khadd-o-khaal hein.
Jo qoumain, nizaam kainat mein taffakur karti hein, unke oopar
taraqqi ki rahein khul jati hein. Maujooda daur mein science is kadar taraqqi
kar chuki he ke, agar taraqqi pazeer qoum science danon ki saf mein shaamil ho
kar scienci eejadat karna chahe toh, science daan secdon saal aur agay badh
jayen ge.
Zaman o makaan ki pabandion se azad honay ke liye, mann his alqom
taraqqi pazeer aqwam ko anbia ki tarz e fikr ki taraf rujoo karna hoga.
Tamam aasmani kitabon mein kainat se mutaliq scienci uloom maujood hein.
Agar hum ilhaami kitabon par tafakkur karein toh bohat kam arse mein maujooda
science daano par sabqat haasil kar sakthe hein. Is waqt science ke samnay sab
se ahem masla yeh he ke, zamaan ki nafi kar ke ziyada se ziyada raftaar par
control haasil kar liya jaye. Ilhaami kitabon mein zaman ki nafi timelessness
ka formula maujood he. Taffakur ke saath jab hum aakhri ilhaami kitaab ka
mutalea karte hein toh, hum dekh letay hein ke yeh saari kainat roshni he. Maujooda
daur ka science daan is maqam taq pohonch gaya he. Isne maloom kar liya he ke,
zameen par har cheez roshni ke ghilaaf mein band he. Insaan ke oopar bhi roshni
ka ek ghilaaf he jis ko scienci istilaah mein aura kaha ja raha he. Kirlian
photography key zariye science daan aura ke shadow ka photo lainay mein kamyaab
hogaye hein. Agar taraqqi pazeer aqwam aakhri ilhaami kitaab mein malka Saba ke
qisse par ghor karein aur ilm al-kitab seekh lein toh zaman o makaan ko apni
marzi ke mutabiq istemaal karne par qudrat haasil kar sakti hein.
Kainat ko doh tarzon se dekha jaatha he. Ek sirf dekhna aur doosray
marhalay mein yeh baat maloom karna, ke kainat kin formulon se murakkab he. Kainat
ko dekhna ya mazahir ko dekhna shaoori dairecar mein aata he. Kainat ke batin
ko dekhna lashaoor mein dekhna he. Insaan ka lashaoor is baat ko achchi tarah jaanta
he ke, kainat ke har zarray ki shakal o soorat harkaat aur baatini hesiyat kya hein.
Shaoor mein yeh ilm is liye nahi aata ke, insaan ko apne lashaoor ka mutalea
karna nahi aata. Agar hamaray andar lashaoor ko mutalea karne ki salahiyaten bedar
ho jayen toh kainat ke har zarra ki shakal o soorat harkaat aur baatini hesiyat
ka mutalea karna asaan ho jaatha he.
Azal se abadd taq jo kuch jis tarah aur jis tarteeb ke saath wuqoo
mein aana tha wuqoo mein aagaya. Yeh baat aakhri ilhaami kitaab Quran mein
balosahaat bayan hui he ke, mawarai hasti Allah ne, “Kun” kaha toh azal se
abadd taq jo kuch jis tarteeb ke saath wuqoo mein aana tha woh zahir ho gaya he.
Khaaliq ke zehan mein kainat se mutaliq jo program tha is program se mutaliq jo
formule they, jo ajzaye tarkeebi they, un ajzaye tarkeebi mein maazi, haal aur mustaqbil
jis tarah bhi maujood tha, “Kun” kehte hi sab wajood mein aagaya. Kun kehnay ke
baad kisi zamane mein bhi lakhon saal pehlay ya lakhon saal baad jo cheez bhi
muzahirey mein aayegi woh is ka mazhar hogi jo kun ke baad mazhar ho chuka he. Kharbon
duniyaon mein koi aisi cheez maujood nahi he jo, pehlay se apna wajood nah
rakhti ho.
Kisi baat ko sahih tor par samajhne ke liye insaan ka gher
janabdaar hona zaroorihe. Agar gher janabdaar zehan nahi hoga toh mainey pehnanay
mein maslhatin shaamil ho jayen gi. Har shakhs ko tarz e fikr ke doh zawiye
haasil hein. Ek zavia yeh he ke, aadmi apni zaat se alag ho kar sochta he aur doosra
zavia yeh he ke aadmi apni zaat ko samnay rakh kar ghor o fikr karta he. Jo
bandah apni zaat ko samnay rakh kar tajassus karta he, iske oopar haqayiq
munkashif nahi hotay aur jo bandah gher janabdaar ho kar gehray tafakkur ke saath
ghor o fikr karta he is ke oopar haqayiq munkashif ho jaathay hein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Zaman
o makaan (time & space) ek lamhe ki taqseem dar taqseem he aur lamhe ki taqseem, ittila he; jo har aan
lehron ke zariye insani dimagh par warid hoti he. Agar hum un ittilaat ka
mukhzan (source of information) maloom karna chahein toh is ka zariya roohani
uloom he, aur roohani uloom ke liye danishwaron ko beharaal Quran mein tafakkur
karna padega.