Topics

Khalaa

Kainat ke kisi fard ki takhleeq par ghor kiya jaye, aur takhleeqi formule samajhne ki koshish ki jaye, toh kainat aur afraad kainat ki chaar sathayen mutayyan hoti hein. Kainat ki pehli satah varaye lashaoor he. Yeh satah kainat ya afraad kainat ke andar bohat geherai mein waqay he. Is satah mein itni ziyada geherai he ke, is ke barey mein, is satah ke awsaf ki tashreeh ke barey mein, ilm haasil karna taqreeban namumkin he. Lekin roohani logon mein aisay log maujood hotay hein (unki tadaad kam hi sahi) ke is satah ki geherai mein awsaf unke samnay aajaathay hein. Wohi log is satah ki sifaat ko jaan letay hein jo barah e raast mashiyat ke tabay hotay hein.

Pehli satah ke baad doosri satah aati he. Pehli satah jab nuzool ke saath ubharti he toh nazooli harkat naye awsaf ka majmoa ban jati he. Is majmoe ka naam lashaoor he. Is satah ke awsaf ki tashkees bhi mushkil he lekin pehli satah ke awsaf ki tashkees ke muqablay mein aasaan he. Lashaoor mein jab harkat waqay hoti he toh fard ka shaoor is ka ihata kar letha he aur us ihatay ka naam tasawwur he aur jab tasawwur apni satah se ubhar kar fard ke samnay aata he toh, is ko hum fard ka shaoor kehte hein aur fard ka shaoor apni bil-muqabil cheezon ka aks qubool karne lagta he. Yahi haalat shey ko wajood bakhshti he aur kisi wajood ko mukhtalif naam de diye jaathay hein. Mukhtasir yeh ke kainat ke har fard ko chaar sathaon se guzarna padta he. Jab taq koi fard ya koi shey un chaar sathaon se nah guzray is waqt taq is shey ki maujoodgi zair e behas nahi aati.

Pehlay teen marhalon mein shey ka taana baana tayyar hota he aur chouthe marhalay mein shey khadd-o-khaal ke saath maujood ka darjah haasil kar lethe hein. Shey ki harkat ya kainat ki harkat do tarah waqay hoti he. Ek harkat ko tolani harkat kaha jaatha he aur doosri harkat mehwari harkat he. Tolani harkat hoya mehwari harkat, dono mein ek waqfa hota he, lekin tolani harkat bajaye khud ek waqfa he. Mazkoorah chaar shaoor jab tolani simt mein daur karte hein is daur ka naam waqfa, time ya zaman he, lekin jab charon shaoor mehwari safar mein apne markaz ki taraf daur karte hein toh is daur ko makaan se tabeer kiya jaatha he.


Kanoon:

Tolani harkat, mehwari harkat, makaan wasmaan ki dono halatain tolani simt mein aur mehwari simt mein ek saath gardish karti hein. Yeh dono gardishein mil kar shaoor ke andar musalsal takhleeq karti rehti hein. Lattu ka ghoomna zamani aur makani dono tarah hota he. Lattu mehwari gardish mein ghoomta he. Tolani gardish mein agay badta he. Agay badna zamaniyaat he aur mehwari gardish mein apne markaz mein dairoon mein ghoomna makaniyaat he. Is ka matlab yeh hua ke, tolani aur mehwari gardish dono mil kar zamaniyaat aur makaniyaat ki takhleeq karti hein. Hum tolani gardish ko apne hawaas mein second, minute, ghantay, din, mah o saal aur sadiyon ki shakal mein jantay hein aur shumaar karte hein, lekin saath hi tolani gardish ko apne hawaas mein minute ya makaniyaat ka waqfa shumaar karte hein. Maslan, jab hamari nazar aasman par utthi he toh, hamaray hawaas mein second, minute ke waqfay toot jaathay hein. Jabkay hamara shaoori tajurba he ke, hum chand so kadam se agay nahi dekh sakthe. Aasman ki taraf nazar uthatay hein, lakhon meel hamaray samnay hotay hein. Chaand, sooraj, sitaron aur ajraam falki ko dekhna is liye mumkin he ke, hum tolani gardish ke saath mehwari gardish mein bhi safar kar rahe hein.

Wahima, khyaal, tasawwur yeh teeno halatain tolani gardish ki ek hi simt waqay hoti hein aur mahsoosati haalat mehwari gardish mein waqay he.


 

Tolani aur mehwari gardish dono mil kar zamaniyaat aur makaniyaat ki takhleeq karti hein.

Nuqta A se nuqta B ek faasla (makaniyaat) he.

Lattu, ab faasla tolani gardish mein agay badatay hue tey karta he.

Tolani gardish mein agay badne ke saath saath lattu dairoon ki shakal mein mehwari gardish karta he jo makaniyaat he.


Mehsoosaat mein zamani makani dono tagayyur ek hi nuqte mein waqay hotay hein. Isi nuqte ka naam waqfa he. Waqfay ka silsila azal se abadd taq jari o saari he. Mazkoorah baala chaar sathaon ya chaar shaooron ki markasyati alag alag chaar zindaganian rakhti hein.

1. Waraye be rang

2. Be rang

3. Yak rang

4. Kul rang

Chaar shaooron ki alehda alehda markaziyat ek mukammal zindagi ya mukammal harkat he. Shaoor ka ek kirdaar gher mutagheyar he. Yeh kirdaar apni hado mein ek hi tarz par dekhta, sochta, samjhta aur mehsoos karta he. Is kirdaar mein kisi kainati zarra ya fard ke liye koi imtiaz nahi paaya jaatha. Yeh shaoor har zarre mein ek hi zavia rakhta he. Is mein la makani shaoor se doosra shaoor takhleeq paata he. La makani shaoor ki raftaar khyaal se karoron guna ziyada hoti he. La makani shaoor ki doosri harkat takhleeq he. Lashaoor aur la makani shaoor ki teesri harkat shaoor ki satah par warid hoti he toh is ki raftaar bohat kam ho jati he, lekin yeh raftaar bhi roshni ki raftaar se lakhon guna ziyada he. Roshni ki raftaar ek laakh cheyasi hazaar do so byasi mile fi second batayi jati he. Roshni ki raftaar se mutharrak la makani shaoor ki teesri harkat jab nuzool kar ke shaoor ke andar daakhil hoti he toh, “Aalam e nasoot” ban jaatha he. Aalam e nasoot mein daakhil honay ke baad roshni mein anasir ki ameezash hoti he. Anasir ki takhleeq aur ameezash darasal fard ka choutha shaoor he. Is shaoor ka idraak saathi hota he is liye is ka thehrao aur thospan bohat kum waqfay par mushtamil he. Chunkay thospan bohat kum waqfay par mushtamil he, is liye yeh shaoor sab se ziyada naaqis he. Naaqis honay ki wajah se is mein peham aur musalsal khala waqay hota rehta he.

Kanoon:


Jo cheez jitni thos hogi, isi munasbat se is mein khala hoga. Roohani aankh se agar deewar ko dekha jaye toh har eent ke andar baday baday sorakh nazar atay hein. Pahodon ko agar baatini aankh se dekha jaye toh baday baday ghaar nazar atay hein. Lagta he baadalon ki tarah koi cheez aasman mein tair rahi he. Khalaon ko pur karne ke liye un hawaas mein aisay takazey bhi maujood hein jin ko hum ikhtiyaari hawaas keh sakthe hein. Yani, aisay hawaas jo hamein zindagi ke tameeri rukh par kayam rehne ki talqeen karte hein. Un khalaon mein jo rukh taamer ki taraf mutwajjah karta he, is ka naam zameer he. 


Nazariya Rang o Noor

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Zaman o makaan (time & space) ek lamhe ki taqseem dar taqseem he aur lamhe ki taqseem, ittila he; jo har aan lehron ke zariye insani dimagh par warid hoti he. Agar hum un ittilaat ka mukhzan (source of information) maloom karna chahein toh is ka zariya roohani uloom he, aur roohani uloom ke liye danishwaron ko beharaal Quran mein tafakkur karna padega.