Topics
Jab nigah bil wasita dekhti he toh khud ko makaniyaat aur zamaniyaat ke andar muqeed mehsoos karti he aur jaisay jaisay bil wasita dekhnay ki tarzain gehri hoti jati hein, isi munasbat se kasrat dar kasrat darjay takhleeq hotay chalay jaathay hein. Wahdat al-wajood aur wahdat alsh_hod ya wahdat ki eslehaath, insani zehan ki apni ikhtira he. Insaan apni mehdood feham ke mutabiq ya apni mehdood fikri salahiyat ke mutabiq jo kuch bayan karta he, woh insaan ki apni fikr ke andar mehdood hota he. Yeh kehna ke wahdat al-wajood wahdat baari taala he hargiz sahih nahi he. Is liye Allah ki wahdat ko ya Allah ke kisi wasf ko insani shaoor bayan karne se qatee kotah aur qassar he. Yeh mumkin hi nahi he ke, kisi lafz ke zariya Allah ki sifaat ka mukammal izhaar ho sakay.
Insaan ki mehdood fikr ke andar Allah taala ki sifaat jis hadd taq
samaye is ne is ko la mahdoodiat ka naam de diya toh is ka matlab yeh hua, jab
hum Allah ki wahdat ka tazkara karte hein toh fil haqeeqat apni wahdat ka zikar
karte hein. Yani hum yeh kehna chahtay hein, ke hum ne Allah ki sifaat ko is
hadd taq samjha he.
Allah ka ilm jab nuzool karta he toh, is nuzool ki pehli haalat ka
naam idraak he. Allah ka yeh ilm jab idraak ban kar ek nuqta par kuch der kayam
karta he aur es ke baad andar geherai pedha hoti he toh, nigah ban jati he.
Idraak mein jab taq geherai pedha nahi hoti he, khyaal ki kefiyat warid nahi
hoti. Idraak agar gehra he aur khyaal ki soorat mein maujood he toh koi cheez
ya soorat samnay nahi aati sirf ehsas hota he. Yani idraak jab khyaal ki hudood
mein daakhil hota he toh, kisi cheez ka halka sa aks padtha he aur jis cheez ka
aks padtha he, is cheez ka ehsas pedha ho jaatha he. Khyaal ki hudood mein
ehsas toh kaam karta he lekin is ki hesiyat sirf fikr ki hoti he. Jab ehsas ek
hi nuqta par chand lamhon ke liye markooz ho jaatha he toh is nuqta mein khadd-o-khaal
aur shakal o soorat pedha ho jati he. Yeh khadd-o-khaal aur shakal o soorat
androoni nigah ke samnay aajate hein. Nigah ke samnay anay walay maware khadd-o-khaal
ya zahiri khadd-o-khaal jab ek nuqta par chand lamhe aur markooz rehtay hein
toh, shey goya ho jati he aur qowat goyai agar zara der aur is nuqta ya is ek
fard ki taraf mutwajjah rahe toh fikr aur ehsas mein rangeeni pedha ho jati he
aur nuqta apne ird gird nirngi ka ek hajhoom mehsoos karta he. Jab is hajhoom
par rooh ki markaziat kuch der ke liye kayam ho jati he toh shaoor mein kashish
ki roshan lehrein pedha ho jati hein. Yeh lehrein jisay dekhti hein, mehsoos
karti hein, inhein choo deti hein. Lehron ke is amal ka naam “lams” he.
Koi bhi makhlooq ya aadam zaad oopar se neeche seedi bah seedi utar
kar pedha hota he aur is ki rooh apne izhaar aur apni jalva namai ke liye gosht
post ka ek jism takhleeq karti he. Is ke baad fikr insani tunazul yafta shakal
se saood ki taraf mutwajjah hoti he, aur hamari hiss pedha honay wali hiss se
ya pehlay hawaas se door honay lagti he. Doori se morad yeh he ke, pedha honay
wala ek din ka bachcha jab doosray din mein daakhil hota he toh, pehla din
zindagi ke nuzool ka radd amal he. Yahi radd amal makaniyaat aur zamaniyaat ka
ehsas dilaata he. Bachcha pedha hua, is ki tamam sifaat, is ke tamam aaza, is
ke tamam hawaas, ek lamhe ke baad doosray lamhe mein tabdeel ho jaathay hein.
Yahi tabdeeli darasal zamaniyaat aur makaniyaat ka phelao he.
Bachcha shaoori aur lashaoori tor par is baat ko samajh raha he ya
gher ikhtiyaari tor par yeh baat is ke shaoor mein record ho rahi he ke, is ek
lamhe se guzar kar doosray lamhe mein daakhil ho gaya hoon. Ek ghanta, ek din, ek
mah aur ek saal se doosray saal mein daakhil ho gaya hoon. Shaoori kefiyat mein
darjah bah darjah seedi bah seedi hawaas ka safar karna hi zamaniyaat o makaniyaat
he. Pedha honay walay bachche ke minute, ghantay, haftay, mahinay aur saal
guzarnay ka matlab yeh he ke, woh nuqta jis ki hesiyat ilm aur aleem ki he, ilm
nazooli se door ho jaatha he. Yahan taq ke mout warid ho jati he. Mout ke baad
rooh ek aur ilm jadeed sikhti he. Jo ilm makaniyaat aur zamaniyaat mein band ho
kar samnay nahi aata. Is ilm jadeed mein insaan gosht post ke jism se azad ho jaatha
he.
Kainat ki saakht par ghor karne se yeh uqda khulta he ke saari kainat,
is mein insaan bhi shaamil he, roshni ke ilawa kuch nahi he aur yeh roshni
mustaqil teen dairon mein oopar neeche ghoom rahi he. Pehlay dairay mein kainat
se mutaliq gheb ki tamam maloomat naqsh hein aur woh ramooz hein jin ke tehat kainat
takhleeq ki gayi he. Insaan ke andar pehlay dairay mein woh ilm naqsh he jo
maslehton aur asaraar ka ilm he. Mawarai ilm seekhnay wala koi shagird jab is
maqam taq pohonch jaatha he ke is ke samnay pehla daira aajaatha he toh woh tajalliyat
ka mushahida kar letha he. Jab tajalliyat insaan ke mushahiday mein ajati hein
toh kainat ke gheb se mutaliq record bhi isi ki nazron ke samnay aajaatha he.
Doosra daira noor ka daira he. Is dairay mein woh ehkanaat naqsh
hotay hein jo ilm ke baad zindagi aur zindagi ka kirdaar bantay hein.
Takhleeq se mutaliq teesra daira roshiniyon ka daira he. Is dairay
mein zindagi ka har amal record hota he. Jahan taq zindagi ke amal ke record
honay ka talluq he yeh sirf insaan aur jinnaat ke liye makhsoos nahi he balkay kainat
mein maujood tamam makhlooq ke amal ka record he. Hum jab dairon ka tazkara
karte hein toh, yeh tasawwur ubharta he ke dairay koi alag alag cheez hein.
Pehla, doosra aur teesra daira. Lekin aisa nahi he. Yeh mehez samajh ke liye ya
alfaaz ki kami ki majaboori ke baais he. Hum duniya mein maujood alfaaz mein
record zindagi ki poori tashreeh nahi kar sakthe. Yeh teenon dairay teen ourak
ke do do safhaat ki tarah ek doosray mein payvasat nazar atay hein.
Teen dairon mein pehla daira energy banata he. Doosra daira is energy
ko istemaal karke zindagi ki tarzain mutayyan karta he aur teesra daira, tamam
kirdaron ko yakja karkay mazahir ki soorat mein paish karta he.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Zaman
o makaan (time & space) ek lamhe ki taqseem dar taqseem he aur lamhe ki taqseem, ittila he; jo har aan
lehron ke zariye insani dimagh par warid hoti he. Agar hum un ittilaat ka
mukhzan (source of information) maloom karna chahein toh is ka zariya roohani
uloom he, aur roohani uloom ke liye danishwaron ko beharaal Quran mein tafakkur
karna padega.