Topics
Isse pehlay hum shaoor aur lashaoor ke zimn mein kaafi tafseeli
behas kar chuke hein aur shaoor aur lashaoor ke zimn mein yeh baat bataaye ja
chuki he ke, insaan noor aur nasma se murakkab he. Yani noor aur nasma se
insani hasti bani hui he aur yeh noor aur nasma zehen
ke gher shaoori aur shaoori pemanay hein.
Shaoori duniya mein gheb se aashna hona mumkin nahi he. Shaoori duniya
ya zaman mutawatar se nikal kar bandha la shaoori duniya ya zaman gher
mutawatar mein daakhil ho jaatha he toh, is pur gheb munkashif ho jaatha he,
aur farishton ki duniya samnay aajati he. Do agencian aisi hein jo shaoor ke
bil-muqabil maujood hein. Ek agency ka naam gheb al gheb he. Doosri agency ka
naam gheb he. Gheb al gheb noor mufrad he aur gheb noor murakkab he. Gheb al gheb
(noor mufrad) aur gheb (noor murakkab) ki tashreeh samjhna zaroori he.
Insani zehen ki teen satah hein aur har satah ke do do rukh hein.
Un do do rukhon ke alag alag naam murakkab roshni, mufrad roshni, mutlaq
roshni, noor murakkab, noor mufrad aur noor mutlaq hein. Murakkab roshni shaoori
duniya he. Mufrad roshni la shaoori duniya he, aur jinaat ki duniya he. Mutlaq
roshni farishton ki duniya he. Noor murakkab
samawaat aur muleka samawi ki
duniya he. Noor mufrad mala aala ki duniya he, jis mein arsh, kursi, betal
maamoor shaamil hein. Noor mutlaq betal maamoor ke oopar ke hijjabat aur zaman
haqeeqi he.
Zaman gher mutawatar se nikal kar insaan zaman haqeeqi mein daakhil
ho jaatha he. Insani zehen ke baqi paanch rukh, yani shaoori duniya, shaoori tajarbaat,
shaoori waardaat o kefiyat, paanch rukhon par kayam hein. Pehla rukh vahm, doosra
rukh khyaal, teesra rukh tasawwur, choutha rukh ehsas aur panchwan rukh
mushahida he. Un paanch rukhon ke bil-muqabil aalam e fitrat waqay he, aalam e
fitrat se morad yeh he ke, woh itlaat jo ba-hesiat makhlooq ke har makhlooq ke
liye ek ittila he lekin har makhlooq is ittila ko apni hudood mein reh kar
qubool karti he aur apni taraf se is mein koi tasarruf nahi kar sakti.
Kainat mein teen zamane hein.
1. Zaman haqeeqi (timelessness or real time)
2. Zaman gher mutawatar (non-serial time)
3. Zaman mutawatar (serial time)
Zaman Haqeeqi:
Zaman haqeeqi mein kisi qisam ke khadd-o-khaal nahi paye jaathay,
mehez ehsas ya idraak paaya jaatha he.
Zaman Gher Mutawatar:
Woh zamana jis mein no sirf no he aur no apni no jaisi hasti ke ilm
se aagah he.
Zaman mutawatar:
Tamam duniyayen jo zameen (arz) par aabad hein, jo time ki girift
mein hein, woh duniyayen jin ka talluq afraad no se he.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Zaman
o makaan (time & space) ek lamhe ki taqseem dar taqseem he aur lamhe ki taqseem, ittila he; jo har aan
lehron ke zariye insani dimagh par warid hoti he. Agar hum un ittilaat ka
mukhzan (source of information) maloom karna chahein toh is ka zariya roohani
uloom he, aur roohani uloom ke liye danishwaron ko beharaal Quran mein tafakkur
karna padega.