Topics
Paichis
saada ho ya khooni, dono sooraton mein antriyon mein kharaash eska sabab hota
hai. Zard ya naranji rang ke pani se yeh marz foran dooor ho jata hai. Pani ki
khorakin marz ki noiyat ke mutabiq dainee chahiye, yani marz ki shiddat mein do
do ghantay baad aur aam haalat mein subah shaam mukammal tour par sehat honay
taq.
Es marz mein zameen ke andar peida honay wali tarkariyan, taiz masalay ziyada
namak mirch aur gosht ki booti nihayat muzar hai.
Purani paichis ka daimi marz der taq musalsal ilaaj karne se rafa ho jata hai, esmarz
mein ghiza ke silsilay mein bohat ziyada mohtaat rehna zurori hai. Ghiza mein
sagodana, arrarot, moong ki daal ki khichdi jis mein 2 hissey daal aur chaawal
aik hissa ho istemaal kerna chahye, Agar doodh ko das minute taq zard ya naranji rang ki bottle mein dhoop mein rakh kar
istemaal kya jaye to ghiza aur dawa dono ka masla hal ho jata hai. Paichis ke
sath maror mein sirf naranji rang ka pani istemaal kerna chahiye.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah e Rahmana er
raheem
اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ
Allah o Noor us samawat
o wal arz
ALLA
ROSHANI HAI
Aasmano aur Zameen ki
|
|
Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki
Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani
hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-