Topics
Mufeed
Gizayein
1. Surkh timatar aur piyaz, dono ko mila kar kachoomar banayen aur khanay ke
sath istemaal karen.
2. Shaljam ka saalan pakaker es ka shorba istemaal karen.
3. Lahsun ki maghaz ki goli banakar nigal jany se pait ka dard fori tour par jata
rehta hai.
4. Adrak, adrak ka achaar, sabz mirch ka aachar, paneer, palaak ka saag, toree
ka saalan, Khurfa ka saag, hera dhaniyaا,
lemoo ka purana achaar, sarson ka saag, Kachnar ki sabzi waghera maida aur
aanton ke amraaz mein aksar mufeed saabit hue hain.
5. Phalon mein sheree aam, injeer, marabba bail giri, bahi waghera mufeed hain .
6. Agar Pait phool jata hai. Sard paseena aatahe aur ghashee ke doray parte
hain aur kabhi larzah aur bukhar bhi ho jata hai toyh maida mein khoon ya doodh
waghera jim jany ki alamaat hain aur un ke dafey ke liye khushk podina pees kar
khilana, ya podina ka arq shukar ke sath mila kar pilana ya bhunay hue chuney
namak mila kar istemaal karna chahiye.
7. Lahsun tursh aanar ka sharbat, aadu, anannaas, papita, jaman faalsa,
sangtrah, loquat, lemoo ka chilka, nashpati, maida aur aanton ko qowat deti
hain.
Muzir Ghizayein:
Bazaar ka pissa howa namak, bazaar ke paase hue masalhay, taiz masalha daar gizaein,
tali hui cheeze, bara gosht, der hazem, baasi cheeze, baasi cheezon mein furj
mein rakhi hui cheeze jis mein vitamins khatam ho jatay hain. Aur in ashya ke
andar' ' farn bodies' ' kaazafh ho jata hai. ( misaal ke tour par gosht ( taaza
) kayi ghantay taq khuli ho a mein agar rakhein to kharab nahi hoga aur fridge
mein rakha hua gosht bahrnkal kar agar aik ghanta se kam bhi rakha jaye to es mein
taffun aa jata hai. Yeh es baat ka saboot hai ke taffun es mein mojood tha
lekin tmprichr ki shadeed kami ke sabab woh zahir nahi hua tha ) gur, tail,
khatai ki zayad-ti aur doodh ki thandhi bottle maida mein ghalazat peda karti
hai.
Paichis aur aanton ke deegar amraaz mein zameen ke andar pidahone wali cheeze muzir
hain.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah e Rahmana er
raheem
اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ
Allah o Noor us samawat
o wal arz
ALLA
ROSHANI HAI
Aasmano aur Zameen ki
|
|
Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki
Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani
hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-