Topics

Bawaseer

Bawaseer do tarhan ki hoti hai, aik khooni aur doosri baadi. Yeh marz ziyada baithy rehne, daimi qabz, bohat ziyada masalay daar ghizayein khanay ya sharaab peenay aur doosri nasha aawar cheezon ki aadat se hota hai. Khooni bawaseer mein zard rang ka pani aik aik khoraak subah wa sham piyen aur masson par zard rang ki shua daalain  ya neeley rang ke pani mein gaddi bigho kar baar baar masson par rakhein.


Baadi bawaseer ke liye naranji rang ka pani piyen aur masson par naranji rang ki shua daalain  ya aasmani rang ke pani ki gaddi rakhen.

Topics


Rang O Roshani Se Ellaj

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah e Rahmana er raheem

اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ

Allah o Noor us samawat o wal arz



ALLA ROSHANI HAI

Aasmano aur Zameen ki

وَمَاذَرَالَکُم فِی الْاَرْضِ مُخْتَلِفًا اَلْوَانُه اِنَّ فِیْ ذٰلِکَ لَآيةً لِقَومٍ يَّذَّکَّرُوْن

Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-