Spiritual Healing

Tilli, Pittah Aur Gurday Ka Amal

“Tilli” ka aik khaas kaam hai. Woh yeh hai ke khoon mein jitne zahreeley maaddey paida hote hain Un sab ko jazb karti hai aur yahan taq un ki noiyat badal deti hai ke inhen khushk kar deti hai. Tilli ki kharabiyan barqi ro ki kammi se hoti hain.


Pittah ” ab hum pittah ka zikar karte hain. Barqi ro ki kami jism mein do terhan ki hoti hai. Aik ki kami se tilli mutasir hoti hai aur kharab ho jati hai aur doosri ki kami se pitaa mutasir hota hai. Pittah halaank bohat mukhtasir hota hai lekin khoon ke douran mein jo aik khaas kisam ka zeher es ke andar se hokar guzarta hai es ko jazb karkay khushk kar daita hai es zeher ke jazb aur khushk honay ka aik khaas tareeqa hai woh yeh ke aik khaas barqi ro peda hoti rehti hai aur es ko jalatii rehti hai.


“ Gurda ” tamam khoon jo jism ke kisi bhi hissa se guzarta hai. Gurdon mein jata hai, gurday es ka tawazun barqarar rakhtey hain. Maslan gurday shukar toltey hain agar shakar ziyada hai to usay masana mein pheink dete hain aur bohat si rutubatein aisi hain ke jo gurdon mein toli jati hain. Ziyada miqdaar masana mein chali jati hai aur jo sahih miqdaar hai woh khoon mein gardish karti rehti hai. Bil aakhir en fasid maadon se masana bhar jata hai aur yeh fasid maadde paishaab ke zareya kharij ho jatay hain.

 

Topics


Rang O Roshani Se Ellaj

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah e Rahmana er raheem

اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ

Allah o Noor us samawat o wal arz



ALLA ROSHANI HAI

Aasmano aur Zameen ki

وَمَاذَرَالَکُم فِی الْاَرْضِ مُخْتَلِفًا اَلْوَانُه اِنَّ فِیْ ذٰلِکَ لَآيةً لِقَومٍ يَّذَّکَّرُوْن

Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-