Spiritual Healing

Sir Ke Baal

Jawani ki umar main baal motay aur bad mein nisbatan putlaay ho jatay hain. Baal aik hadd taq bherne ke baad ruk jatay hain aur kuch arsay ke baad jher jaatey hain. Baal ki Umar kam vbish chaar saal hoti hai aur apni Umar poori karne ke baad khud-bakhud gir jata hai. Kanghi karne mein chand baal gir jatay hain toyh koi tashweesh ki baat nahi hai lekin agar kanghi karte hain lambay balon ke sath chhootey baal bhi nikal ayen to es koi nah koi aisa sabab zaroor mojod_he jis ko bemari kanam diya jasktahe. Balon ke girnay mein umooman pehli alamat khushki hoti hai.
Sar ki jald mein khushki naaqis ghiza’on ke istemaal, neez khushbodar ghair khalis tail, sir dhoney mein sabun ka istemaal, khanay mein namkeen aur chat patti cheezon mein be etdaali ki wajah se hoti hai.


Balon ke qabal az-waqat safedi ke asbaab mein khandani ya moroosi asbaab bhi khaas tour par ahem hain. Mutawatar dimaghi sadmaat se bhi baal safaid ho jatay hain. Tareekh mein aisay waqeat bhi mlitay hain ke kisi shadeed haadsay ki binaa par sirf aik raat mein sirkay baal bilkul safaid ho gaye hain.


Un tamam wajohaat mein se koi bhi wajah ho. Es ke liye aasmani rang aur shua’on ka istemaal azbas mufeed hai. Sir dhoney mein aasmani rang ka pani aur sir mein laganay ke liye aasmani rang ki shu’aon ka tail baqaidagi ke sath istemaal karna chahiye. Tilon ke khalis tail ko aasmani rang ki sheeshi mein es terhan bhar kar ke sheeshi ka oopri hissa aik chothai khaali rahay. Mazboot kark lagaa kar aik mah taq dhoop mein rakhen aur tail raat ko sonay se pehlay khoob achi terhan sir mein jazb karein.

Topics


Rang O Roshani Se Ellaj

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah e Rahmana er raheem

اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ

Allah o Noor us samawat o wal arz



ALLA ROSHANI HAI

Aasmano aur Zameen ki

وَمَاذَرَالَکُم فِی الْاَرْضِ مُخْتَلِفًا اَلْوَانُه اِنَّ فِیْ ذٰلِکَ لَآيةً لِقَومٍ يَّذَّکَّرُوْن

Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-