Spiritual Healing
Rang
ya roshni se amraaz ka ilaaj es qader aasaan hai ke mamooli soojh boojh ka
aadmi bhi es se faida utha sakta hai. es ilaaj mein waqt bhi kam surf hota hai,
kharch bhi kuch nahi hota aur dawayein hamesha taaza istemaal ki ja sakti hain.
Tareeqa awwal : Jis rang ki zaroorat ho us rang ki aik bottle bazaar se
khareed kar pehlay usay thanday pani se aur phr garam pani se achi terhan saaf kar
lena chahiye. Taakay bottle ke andar ki satah mein kisi qisam ka mail baqi nah
rahay. Agar bottle ke oopar koi label ya kaghaz waghera se laga hua esey bhi door
kar dena chahiye. Sheeshi ko saaf karne ke baad es mein aab e muqattar (
distilled water ) es terhan bherna chahiye ke bottle ya sheeshi ka aik chothai
oopri hissa khaali rahay. es bhari hui bottle ya sheeshi ko lakri ki maiz ya
chocky par aisi jagah rakhna chahiye jahan saaf aur khuli hui dhoop ho. Agar
bazaar mein matlooba rang ki bottle ya sheeshi faraham nah hosakay to saaf pakke
sheeshay ki safaid bottle khareed kar es par transparent kaghaz esterhan chipka diya jaye ke bottle oopar,
neechay aur atraaf mein kaghaz ke andar aajay. Transparent se morad who kaghaz
hai jo agar batyon waghera ke packet par khoubsurti ke liye lagaya jata hai.
Agra aysa kaghaz dastyab nah ho tu transparent plastic sheet se bhi kaam liya
ja sakta hai.
1. Aik chothai khaali bottle chore kar pani ko bottle mein dhoop mein char ya
chay ghanta taq rakha jaye. Pani tayyar karnay ka behtareen waqt din mein das
gayarah bujey se chaar bujey taq hai. Pani tayar hone ki shanakht yeh hai ke
bottle ke khaali hissa par bhaap ki terhan kuch bondein jama ho jati hain.
2. Aik sheeshi ko doosri sheeshi ke qareeb es terhan nah rakhen ke aik sheeshi
ka saya doosri sheeshi per parey.
3. Jis maqam par sheeshiyan rakhi jayen wahan kisi qisam ka gird o ghubar ya
dhuwan nahi rehna chahiye. Sheeshiyon ke oopar kaark mazbooti se laga rehna
chahiye.
Dosra tareeqa : Barsaat ke dinon mein jab ke sooraj kabhi nikalta hai
aur kabhi abar mein rehta hai yeh tareeqa ikhtiyar kya jaye ke jis rang ki
zaroorat ho usi rang ki bottle mein sugar of milk ki do green ki
tikiyan hasbe qaida bhar kar mutawatar pandrah yom ya aik mah taq rozana chay
ghanta dhoop mein rakhi jayen. Darmiyan mein har chouthay rauz un ko hilaate
rahen taakay golion mein sooraj ki kiranen khoob achi terhan jazb ho jaien.
Pandrah roz ke bad en golion ko batuar dawa kya ja sakta hai.
Teesra tareeqa : Kamray ke es rukh par jidhar se dhoop aati ho,
mukhtalif khirkion mein mukhtalif rang ke sheeshay lagva diye jayen
aur un par parda khech dein mareez ko es kamray mein aaraam da bistar par lita kar
tamam darwazay aur khirkiyan band kar ke a kamray mein andhera kar liya jaye.
Ab mareez ko jis rang ki zaroorat hai es rang ke sheesha wali khirki se parda hata
diya jaye taakay sooraj ki roshni es makhsoos rang ke sheeshay se guzar kar
andar aaye. es terhan kamray mein sirf wohi roshni baqi rahay gi jis ki mareez
ko zaroorat hai. Misaal ke tour par aik bukhaar ke mareez ko aisay kamray mein
lita kar neelay sheeshay wali khirki ke parday hata dein aur mareez ko es rang
ki roshni mein do teen ghanta taq rehne den. Har nisf ghantay ke waqfay se
tharma meter ki madad se es mareez ka darja hararat dekhte rahen to aap ko
maloom hoga aahista aahista mareez ka bukhaar kam ho kar bilkul.
Choutha tareeqa : Raat ke waqt es ilaaj katriqh yeh hoga. Aik table lamp
stand par es terhan foot kya jaye ke bulb ki roshni mareez ke palang par es jagah
parre jis jagah roshni ki zaroorat hai. Matlooba rang ka bulb le ker roshni kar
dein aur mareez ko es roshni mein lita dein.
Panchawan tareeqa : Daidh foot ka aik box banwa liya jaye jis mein
charon taraf se es terhan ke khanaay banaye jayen ke un mein hasbe mansha jis
rang ka chahain sheesha laga dein. Box ki zameen lakri ki honi chahiye. Albata
chhat par agar koi aisi dhaat lagai jaye jis ka reflection parta ho tu ziyada
munasib hai. es laltain numa box ke andar bulb laga dein ya taiz roshni ka
chiragh jaladein. Ab teen taraf ke khanaay band kar ke chouthay khanaay mein
isi rang ka sheesha lagaa kar jis rang ki zaroorat ho voh roshni haasil karein.
Chhata tareeqa : Tail bananay ka tareeqa yeh hai ke mukhtalif rangon ki
bottlon mein kachchi ghaani ka khalis alsi ka tail bhar kar chaleesyom taq
dhoop mein rakhen. Agar es arsa mein barish aajay ya baadal chhaa jayen to yeh
din shumaar karlen aur chaleesrozke baad itnay roz mazeed dhoop mein rakh kar
course poora kar lein. Tail tayar ho janey ke baad es ki maalish karai jaye.
Maalish subah o sham paanch paanch
minute daiyron mein karni chahiye.
Sir mein maalish karne ke liye aasmani rang ki bottle mein tilon ki tail tayyar
kiya jaye. Yeh tail aisay mareezon ke liye mufeed hota hai jin ke dimagh ko
garmi charh gayi ho. Mareez kabhi hosh mein aur kabhi be hosh ho jata ho aur be
hoshi ki haalat mein be sir o pa batein bakta ho darta ho aur kehta ho ke mujhe
aik saya nazar aata hai, ya awaaz aati hai ke chalo mere sath chalo, gharz yeh ke
dimagh garmi ki wajah se be qaboo ho gaya. es tail ko ser min jazb karanay se
chand minute mein hosh o hawas durust ho jatay hain.
Neellii bottle mein tayyar kya howa tilon ka tail un logon ke liye intahyee
darja faidamand hai jo dimaghi kaam karte hain ya ziyada kaam karne se dimaghi
kamzoree paida ho gayee ho ya yad dasht kam hogayi hon, ser mein dard, ganj aur
khujli ki zayaddti se jo takleef ho es ke liye neelay rang ki bottle ka tail
nihayat faida mand hai. Jin talba ko mazameen yaad nah rehtay hon aur
danishwaron ko masail ke suljhanay mein diqat paish aati ho un ke liye yeh tail
qudrat ka anmol atiyah saabit huwa hai. es ke subah o sham istemaal se daraonay
khawab aana band ho jatay hain. Dimagh mein nazla agar jum gaya ho aur es ki
wajah se sir mein bhaari pan ho to es tail ke istemaal se balgham raqeeq hokar
naak se kharij ho jata hai. Benayee ke liye qowat bakhash hai. Yeh bhi dekha
gaya hai ke es ke musalsal istemaal se “motiyan band ka pani utarna band ho
gaya hai.
Surkh rang ki bottle mein tayyar kya hoa tail aisay mareezon ko filfoor shifa bakhshta
hai jin ko sardi ki wajah se badan ke kisi hissa mein dard rehne laga ho.
Baingni aur naranji rang ki bottle mein tayar kiye hue tail ne aatishak ke
zakhamo par jaadoo ka asar dikhlaya hai. Jo mareez raat ko zakhamo mein takleef
se cheekhte aur chilaatey they aik martaba ke tail laganay se un ko raahat hui
hai.
Satwaan Tareeqa : Sheeshay ke rangeen jar mein. Distilled water ampule kar
aik mah taq rozana gayarah bujey se chaar bujey taq dhoop mein rakhen aur jis
rang ki zaroorat ho us rang ka aik ya do “cc”' injection lagwayin. Sirf aik
anjkshn se marz ka qala qama hotay dekha gaya hai. Agar zaroorat parre to aik
anjkshn ka waqfa dosray anjkshn se kam azkam aik hafta zaroor hona chahiye. Kamar mein beessaal ka purana dard surkh rang
mein tayyar kiye hue sirf aik anjkshn se naist vnabod hotay dekha gaya hai.
Note : Injekshan ka ilaaj
kisi hooshiyar aur mustanad mualij ke mahswara ke bagheir na kya jaye.
Athwan Tareeqa : Aankhon ki bemari, aankhon ki dukhan aur in aankhon ke
liye jo operation ke baad kharab hogayi hon halkay aasmani rang ke sheeshay ki
aeinak lagana behtareen nataij ka haamil hai.
Note : Aasmani rang glass ki aeinak
din mein subah 9 ya 10 baje se shaam 4 ya 5 baje taq lagany chahiye. Ziyada behter
yeh hai ke 2 ya 3 ghantay ka waqfa guzarnay par aeinak utar di jaye aur pandrah
beesminute ke baddobarh lagai jaye.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah e Rahmana er
raheem
اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ
Allah o Noor us samawat
o wal arz
ALLA
ROSHANI HAI
Aasmano aur Zameen ki
|
|
Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki
Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani
hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-