Spiritual Healing

Janwar Aur Rangeen Ilaaj

Mere dost ka aik aseel murgh aik so char bukhaar mein mubtala ho aaur  sabz rang ki bat karne laga. Khana piinaa chore diya, zameen mein gardan daaley khara rehta tha. Dost ne bataya ke mere tamam murgh is bemari mein mar jatay hain. Mein bukhaar ke liye aasmani rang IX ki taaqat mein aur zard rang pani IX ki taaqat mein do do ghantey ke waqfa se baari baari dainay ki hadaayat ki dosray din murgh ki susti to daur hogayi. Lekin bukhar aur ishaal mein koi farq nah para. Phir mein ne sirf neelay rang ki IX ka pani do do ghanta bad diya jis se bukhar bilkul utar gaya lekin bhook nahi khuli. Ab mein ne sirf zard rang ki IX taqat ki chand khorakin den jin se murgh ko khal kar barray barray dast aeye aur oh poori terhan tandrost hokar bangh dainay laga. Dost ne herani ka izhaar karte hue kaha kay mera koi murgh is terhan tandrost nahi howa. Ittafaq se mera apna murgh bhi bemaar hogyaaur  is ko qabz hogaya. Usay mein ne peelay rang ka pani diya. Es se is ko dast anay lagey aur dochar dast anay ke baad is ki susti daur hogayi aur bhook bhi khil gayi. Lekin is ka jism barf ki taraf thanda hogaya. Yeh tashweesh-naak haalat thi. Mein ghabra gaya. Phir khayaal aaya ke khwaja sahib ne surkh rang ke liye likha tha ke yeh bara bhaari muharrak hai aur jism ko garam karta hai. Mein ne surkh rang ke pani ke aik khoraak murgh ko pilayi aur oh pani minute mein garam ho gyaaur  is ki sahet bahaal hogayi .
Hamsaaya mein aik aurat ka moonh  pakka hua tha. Mun mein itnay chhalay they ke kuch kha pi nahi sakti thi. Is ko aasmani rang ka pani aik glass pani mein chand qatray daal kar diya gaya. Char roz mein aisi hogayi jaisay usay koi takleef thi hi nahi.



Topics


Rang O Roshani Se Ellaj

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah e Rahmana er raheem

اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ

Allah o Noor us samawat o wal arz



ALLA ROSHANI HAI

Aasmano aur Zameen ki

وَمَاذَرَالَکُم فِی الْاَرْضِ مُخْتَلِفًا اَلْوَانُه اِنَّ فِیْ ذٰلِکَ لَآيةً لِقَومٍ يَّذَّکَّرُوْن

Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-