Spiritual Healing

High Blood Pressure

Es marz mein logon ke andar khoon ka dabao tabayee dabao ke muqaabla mein barh jata hai. Khoon ke dabao ( Blood pressure ) se woh qowat morad hai jo dil ke sukerne par khoon apne bahao ki haalat mein khooni raggon ki lachak dar nalion ko phelanay mein sirf karta hai. Dil doran e khoon se talluq rakhnay wala khaas uzoo hai jo makhrooti shakal ka hamaray seenay mein mein zara baen janib waqay hai. Aur aik pumping machine ki manind seenay ke andar sukerta aur phelta rehta hai. Dil ke sukarnay ki taaqat aur baareek raggon ki qowat muqaabla agar haalat e aitdaal par nah rahay to khoon ka dabao barh jata hai.


Tamam aadmion mein khoon ka dabao yaksaan nahi rehta. Har shakhs ke khoon ke dabao mein ikhtilaaf hota hai. Lekin un ikhtilafat ke bawajood, mahireen ne khoon ke dabao ka aik ossat muqarrar kiya hai. Agar es muqarara ossat se khoon ka dabao barh jaye aur yeh kefiyat kuch arsa taq qaim rahay to esko halat-e marz samjha jata hai. Kabhi kabhi khoon ka dabao baherne ke foran baad faalij ho jata hai. Mirgi ka dorah aur dil ka dora bhi par jata hai.


Aasmani rang ya neelay rang ki shu’aon ke pani ki khorakin aur aasmani ya niilii shu’aon mein mareez ko din raat mein aik aik ghantay littaye rakhna, mo’asar ilaaj hai.

Topics


Rang O Roshani Se Ellaj

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah e Rahmana er raheem

اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ

Allah o Noor us samawat o wal arz



ALLA ROSHANI HAI

Aasmano aur Zameen ki

وَمَاذَرَالَکُم فِی الْاَرْضِ مُخْتَلِفًا اَلْوَانُه اِنَّ فِیْ ذٰلِکَ لَآيةً لِقَومٍ يَّذَّکَّرُوْن

Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-