Spiritual Healing
Heere
ke kayi rang hotay hain un mein gulaabii bhi shaamil hai aur safaid ke ilawa
sabz mael aur zardi mael. Un rangon ke mamooli Nageenon mein bhi wohi asraat
milein ge jo heere mein mojood hain. Asal wajah wohi rang hai jis ka tazkara
Allah Talah ne farma diya hai.
Heere ke rangon se amraaz ka ilaaj kia ja sakta hai. Tareeqa wohi hai ke heere
ka rang ka koi nagina angothi mein pehna jaye aur is nagina ko kabhi kabhi pani
mein dho kar pani pi liya jaye. Heera aur heere ke rang ke nageenay bars (
safaid daagh ), jazam, masana ki pathri, deewangi, Malikholiya aur nazar bad se
mehfooz rakhtay hain. Is ki mojoodgi mein aasmani bijli ensaan ke oopar nahi
girty. Heere ke rang ka nagina , heere ki terhan ensaan ke andar ahmiyat aur
shujat paida karta hai. Jis se woh apne dushmanon par ghalib rehta hai.
Heere ke chhootey aur bareek tukron ko heere ki kanni kaha jata hai. Heerey ki
kanni agar koyi shakhs nigal le to is ka jigar paash paash hojatahe.
Note : Ehthyat ka taqaza hai ke heere ko pani mein dhokr pani nah piya
jaye albata heere ke rang ke kisi nagina ko pani mein dho kar pani peenay mein
koi harj nahi hai.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah e Rahmana er
raheem
اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ
Allah o Noor us samawat
o wal arz
ALLA
ROSHANI HAI
Aasmano aur Zameen ki
|
|
Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki
Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani
hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-