Spiritual Healing

Giltty

Aik mariza khanazeer mein mubtala thi aur is ko halka halka bukhaar tha. Aik gilty dayen jabray par thi aur doosri gardan par jo kafi sakht thi is mein shadeed dard tha. Pehlay neela aur sabz pani har chaar ghanta ke baad baari baari diya gaya. Charroz ke baad jabray wali gilty se pick kar mawaad behnay laga aur dard bhi khatam hogaya lekin doosri gilty ko koi faida nahi howa. Taqreeban aik hafta intzaar ke baad mein ne surkh aur sabz rang ka pani baari baari di aik hafta ke andar andar gilty aadhi reh gayi. Dard bhi khatam hogaya. Ab teesra hafta ja raha hai gilty baraye naam reh gayi hai. Bachi ko sardiyoon mein bhi shadeed pyaas lagti thi woh bhi bah fazl e kkhuda theek hogayi hai. Mere tajurbah mein yeh baat bhi aayi hai ke jis chamcha se aik rang ka pani diya jaye, is chamcha ko saaf aur khushk kiye baghair dosray rang ka pani nahi dena chahiye. Aasmani aur zard rang ka pani doddo ghantay ke baad dainay se bohat jald faida hota hai. Shadeed haalat mein kuch khorakin aadh aadh ghanta ke baad bhi di ja sakti hain. Mera tareeqa ilaaj yeh hai ke mein saaf shafaaf adhay glass pani mein rangeen pani ke chand qatray daal daita hoon aur dosray rang ke pani ke chand qatray dosray glass ya cheeni ke saaf pyaale mein daal daita hoon aur mareez ko dono bartano ki chamchiyan allag allag rakhnay ki hadaayat kar daita hoon. Yeh ahthyat rangon ke ilaaj mein zurori hai.

Topics


Rang O Roshani Se Ellaj

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah e Rahmana er raheem

اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ

Allah o Noor us samawat o wal arz



ALLA ROSHANI HAI

Aasmano aur Zameen ki

وَمَاذَرَالَکُم فِی الْاَرْضِ مُخْتَلِفًا اَلْوَانُه اِنَّ فِیْ ذٰلِکَ لَآيةً لِقَومٍ يَّذَّکَّرُوْن

Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-