Spiritual Healing

Estasqa ( Pani Bhar Jana )

Elopathy mein es marz ka elaaj soi ke zareya pani nikaal deina hai, Aik aam tareeqa hai. Lekin kuch arsa ke baad pani phir jama ho jata hai aur phir nikaal diya jata hai. Zahir hai yeh koi mustaqil ilaaj nahi hai. Rang aur roshni se ilaaj ke zareya hamaray tajurbah mein yeh baat aayi hai ke mustaqil mizaji se ilaaj kiya jaye tu mareez shfayab ho jata hai. Estasqaa gurdon ki kharabi se ho ya dil ki kisi bemari ki wajah se, pait mein pani bhar jata ho to ilaaj safaid aur zard rang ki shu’aon se kya jata hai. Safaid rang ki sheeshi aur zard rang ki sheeshi mein allag allag pani tayar kar ke  mareez ko do do ounce pilana chahiye. Aur mareez ko din raat mein do safaid aur zard rang ki shu’aon mein aik aik ghanta taq aaraam da bistar mein litana chahiye. Sir min pani bhar jany ( jis ko hydrocephalus kehtey hain ) ka ilaj safaid rang ki shu’aon ka pani aur safaid rang ki shu’aon mein mareez ko litana hai.

 

Topics


Rang O Roshani Se Ellaj

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah e Rahmana er raheem

اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ

Allah o Noor us samawat o wal arz



ALLA ROSHANI HAI

Aasmano aur Zameen ki

وَمَاذَرَالَکُم فِی الْاَرْضِ مُخْتَلِفًا اَلْوَانُه اِنَّ فِیْ ذٰلِکَ لَآيةً لِقَومٍ يَّذَّکَّرُوْن

Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-