Spiritual Healing
Jab
aadmi par deewangi ka dowrah parta hai. Ibtida kisi terhan ho. Khuwa thora
thora ya achanak. Esmein hamesha umm al dimagh ke andar ro ka hajhoom hojata hai
aur chunkay en ke nikalney ka rasta nahi
hota lehaza dabao ki binna par khalion ke andar ki diivaaren toot jati hain aur
rasta kahin kahin se ziyada khul jata hai.
Yeh zurori nahi hai ke kahin khalaa qatayee nah ho. Aksar khalion mein ro sifar
ke barabar ho jati hai tu aadmi baithy baithy bilkul be khayaal ho jata hai. Agar
chay yeh koi marz nahi hai lekin umm al dimagh mein jab aisa khala waqey hota
hai tu khalion mein aik simt ro ka tasarruf bohat barh jata hai. Yahan taq ke
woh khaliye kisi qisam ki yad’dasht se khaali ho jatay hain. Agar chay aadmi
puranay waqeat yaad karna chahta hai. Barbar yaad karna chahta hai lekin yaad
nahi atay. Aik taraf to yeh hota hai aur doosri taraf ro ka itna hajhoom ho jata
hai ke dimagh kaam karna chor deita hai. Esterhan khalion ki ro mein jo tarteeb
honi chahiye woh nahi rehti balkay es mein aisi be qaidgi ho jati hai ke mareez
aik baat zameen ki kehta hai aik aasman ki. Aisay shakhs ko hum apni istilaah
mein pagal kehte hain. Pagal pan kam ho ya ziyada es ki koi shart nahi.
Baaz auqaat sirf chand hazaar khaliye ro ke tasarruf se bilkul
khaali ho jatay hain ya un mein ro ka tasaruf qatayee nahi rehta. Ro ka tasarruf
nah honay se yeh Mansha nahi hai ke ro rehti hi nahi hai balkay ro mein tarteeb
nahi rehti. Yahan taq ke woh bilkul be qaida jati hai hai.
Ab chand hazaar khalion ke be tarteeb honay ka assar yeh hota hai ke aadmi aik
baat ka talluq doosri baat se qaim nahi rakh sakta. Kabhi kabhi es par barri
sharmindagi hoti hai. Aisa na mumkin hai ke har shakhs ke sath es qisam ke
waqeat paish nah atay hain. Yeh koi bemari nahi hai magar bar bar aisa honay se
bemari paida ho jati hai. es ko Hafza ki ziyada kamzoree ka nam diya jata hai.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah e Rahmana er
raheem
اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ
Allah o Noor us samawat
o wal arz
ALLA
ROSHANI HAI
Aasmano aur Zameen ki
|
|
Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki
Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani
hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-