Spiritual Healing

Bukhaar Aur Ess Ki Kismain

Jab umm al dimagh mein es terhan ke kayi khalaa ban jatay hain aur kai jagah ro ka hajhoom ho jata hai to kayi qisam ke bukhaar shuru ho jatay hain. En bukharon ki wajah ro ke hajhoom ka achanak rang badalna hai. Rang ke achanak tabdeeli ke amal ko YARQAAN kehte hain. Aur yeh marz mohlik hai. es ka ilaaj asaan ho jata hai agar mareez leta rahey aur khanay mein mamnoo ashya istemaal nah kere.


Dosray number par typhoid yaani mayaari bukhaar hai. es ka waqt Moueen hai phir bhi agar sahih ilaaj kya jaye to bohat jald afaqa ho jata hai.


Teesray number par laal bukhaar aata hai. Yeh aik so chaar se kam nahi hota. Chehra par surkhi aa jati hai. Haath peiron mein einthan rehti hai. Be cheeni hoti hai. Kabhi kabhi kamar se neechay ka hissa bilkul baikar ho jata hai. Mareez harkat nahi kar sakta.


Chouthay number par gardan toar bukhaar aata hai. es mein jahan khalion ki jagah khaali hoti hai wahan makhloot rang ki ro pani ban jati hai. es pani ko nikaal diya jaye aur sahih ilaaj kya jaye.


Panchwain number mein kala bukhaar aata hai. es mein mareez ka rang bilkul siyah ho jata hai. Lekin ziyada mohlik nahi hai. es ka sahih ilaaj kya jaye to jald afaqa ho jata hai.

Topics


Rang O Roshani Se Ellaj

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah e Rahmana er raheem

اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ

Allah o Noor us samawat o wal arz



ALLA ROSHANI HAI

Aasmano aur Zameen ki

وَمَاذَرَالَکُم فِی الْاَرْضِ مُخْتَلِفًا اَلْوَانُه اِنَّ فِیْ ذٰلِکَ لَآيةً لِقَومٍ يَّذَّکَّرُوْن

Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-