Spiritual Healing

Bab-e Chharum Jism Insani Mein Rang Ki Kami Ya Zayad’dti Se Peda Honay Walay Amraaz Aur In Ka Ilaaj!

Aasmani rang khalis neela aasman jaissa rang hota hai. Yeh bohat thanda hota hai.


Neela rang gehra neela hota hai jis mein bohat halki surkhi hoti hai es ko neel ka rang ya arghawani rang kehte hain. Boorhay aur kamzor mareezon aur bachon ke liye aasmani neelay ki nisbat gehra neela hamesha behter hota hai kyunkay woh ziyada thandak bardasht nahi kar satke. Yeh rang aisi sheeshi ka hota hai jis mein walayati arrandi ka tail aata hai.

Topics


Rang O Roshani Se Ellaj

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah e Rahmana er raheem

اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ

Allah o Noor us samawat o wal arz



ALLA ROSHANI HAI

Aasmano aur Zameen ki

وَمَاذَرَالَکُم فِی الْاَرْضِ مُخْتَلِفًا اَلْوَانُه اِنَّ فِیْ ذٰلِکَ لَآيةً لِقَومٍ يَّذَّکَّرُوْن

Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-