Topics

Taaruf

Abdal Haq, Silsila Owaisia Azeemi Ke Baani Mubani, Risala Rohani Digest Ke Rooh Rawan Murshidna O Sayedna  Hasan Ukhra Mohammad Azeem Barkhiya Rehmat Allah Aleh Ke Halaat Zindagi Ka Zikar E Jameel Paish Karne Se Qabal, Hum Aap Ke Naam Nami Ism Graami Par Roshni Dalain Ge Taakay Qaryin Huzoor Baba Sahib Ke Maqam Aur Martaba Wilayat Ko Pehchan Len .


Huzoor Baba Sahib ka poora ism graami :


HASAN UKHRA SYED MOHAMMAD AZEEM BARKHIYA


Almaroof


HUZOOR QALANDAR BABA AULIA


Hasan Ukhra : Huzoor Baba Sahib Ka Khitaab Hai. Yeh Khitaab Ba-Tareeq Owaisiya Sayedna  Huzoor Aleh Salato Walslam Ki Bargaah Aqes Se Ataa Huwa Hai. Aur Bargaah Rasool Sale Allah Aleh Wasallam Mein Un Hi Muqaddas Kalmaat Se Huzoor Baba Jee Mukhatib Bakhitab Farmaiye Jatay Hain .

 

Mohammad Azeem : Huzoor Baba Jee Ki Paidaiesh Ke Baad Rakha Gaya Tha. Aap Najeeb ul Tarfain Sadat Mein Se Hain. Aur Aap Ka Khandani Silsila Hazrat Imam Hasan Askari Se ja milta Hai. Is Liye Aap Syed Kehlaye Jatay Hain .


Barkhiya : Aap Ka Takhallus Hai. Takmeel Wabastagi Shoq Shair O Sukhan Ke Liye Huzoor Baba Sahib Ne Barkhiya Ka Takhallus Ikhtiyar Kya Tha. Qalandar Baba Aulia Huzoor Baba Sahib Ka Urf Hai. Martaba Qalandariyat Ke Aala Maqam Par Faiz Honay Ki Wajah Se Mulaika Arzi O Samawi Aur Hamilan Arsh Mein “Qalandar Baba Aulia” Ke Naam Se Mashhoor Hain Aur Yahi Urfiat Yani “Qalandar Baba Aulia”, Aama Al Naas Mein Zabaan Zad e Aam Hai .

Topics


Tazkira Qalandar Baba Aulia R.A

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Aisa ensaan jis ke deedaa aitbaar aur chasham haqeeqat ke samnay har shye ki shayeeyat utth gayi ho aur woh muratib wujood ko samajh kar un mein urooj karta rahay, yahan taq ke aalam takveen se baala qadam rakhay aur maqam wahdaniyat ke mushahiday mein ghark reh kar ahadiyat ki tafseel mein ain wahdat ka jamal mushahida karkay maqam wahdat ki masti aur be kaify mein gum rehtay hue martaba ahadiyat par wapas aajay. Is ke baad apne Muratib se judda hue baghair ahadiyat ke mushahiday mein mehv rahay. Phir insani martabay par poanch kar abodit ka maqam haasil kere, yahan taq ke is ka urooj o nuzool aik hojaye. Juzw mein kul aur kul mein juzw ko dekhe. Phir un tamam se mustaghni hokar herat Mahmooda yani suroor mein rahay to is ko “Qalandar” kehte hain .