Topics
Aik
roz huzoor Baba Sahib ghutnon ko hathon ke halqay mein liye baithy they. Mein ne
huzoor baba jee ke peeron par apna sir rakh diya aur aisi kefiyat taari hui ke
mein so gaya. Is waqt din ke das bujey they. Jab meri aankhh khuli to shaam ke
chaar baj rahay they. Musalsal chay ghantay taq huzoor Baba Sahib ne apni
nashist nahi badli aur aik hi nashist se baithy rahay taakay meri neend kharab
nah ho. Beedar honay ke baad jab mein ne gharri dekhi to nedamat se meri
peshani arq alood hogayi .
Tazkira Qalandar Baba Aulia R.A
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Aisa
ensaan jis ke deedaa aitbaar aur chasham haqeeqat ke samnay har shye ki shayeeyat
utth gayi ho aur woh muratib wujood ko samajh kar un mein urooj karta rahay,
yahan taq ke aalam takveen se baala qadam rakhay aur maqam wahdaniyat ke
mushahiday mein ghark reh kar ahadiyat ki tafseel mein ain wahdat ka jamal
mushahida karkay maqam wahdat ki masti aur be kaify mein gum rehtay hue martaba
ahadiyat par wapas aajay. Is ke baad apne Muratib se judda hue baghair ahadiyat
ke mushahiday mein mehv rahay. Phir insani martabay par poanch kar abodit ka
maqam haasil kere, yahan taq ke is ka urooj o nuzool aik hojaye. Juzw mein kul
aur kul mein juzw ko dekhe. Phir un tamam se mustaghni hokar herat Mahmooda
yani suroor mein rahay to is ko “Qalandar” kehte hain .