Topics
Mere
Peer bhai, zaki sahib hyderabad mein furniture ka kaam karte hain. In ki shadi
ka masla darpaish tha. Zaki sahib ke waalid namsaad halaat ki bana par abhi
shadi karna nahi chahtay they. Huzoor Qalandar Baba Aulia ne un se farmaya ke
shadi foran kar di jaye warna yeh shadi arsay taq nahi hosakay gi. Behar haal,
jaisay tise karkay shadi hogayi. Rukhsati ko aik hafta bhi nahi guzra tha ke un
ke aik qareebi rishta daar ka intqaal hogaya. Abhi un ka chaleeswa bhi nahi huwa
tha ke khandan mein aik aur mout waqay hogayi. Is silsilay ne itna tole khincha
ke chalees din poooray nahi hotay they ke kisi aik ka intqaal hojata tha aur
yeh alamnaak silsila kayi saal se jari hai .
Tazkira Qalandar Baba Aulia R.A
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Aisa
ensaan jis ke deedaa aitbaar aur chasham haqeeqat ke samnay har shye ki shayeeyat
utth gayi ho aur woh muratib wujood ko samajh kar un mein urooj karta rahay,
yahan taq ke aalam takveen se baala qadam rakhay aur maqam wahdaniyat ke
mushahiday mein ghark reh kar ahadiyat ki tafseel mein ain wahdat ka jamal
mushahida karkay maqam wahdat ki masti aur be kaify mein gum rehtay hue martaba
ahadiyat par wapas aajay. Is ke baad apne Muratib se judda hue baghair ahadiyat
ke mushahiday mein mehv rahay. Phir insani martabay par poanch kar abodit ka
maqam haasil kere, yahan taq ke is ka urooj o nuzool aik hojaye. Juzw mein kul
aur kul mein juzw ko dekhe. Phir un tamam se mustaghni hokar herat Mahmooda
yani suroor mein rahay to is ko “Qalandar” kehte hain .