Topics
Mein
aksar raat ko Qalandar baba ki kamar
dabatay waqt yeh daikhta tha ke chhat aur dewaron mein se doodhiya rang ki
roshni phoot rahi hai. Andheray kamray mein yeh roshni achanak namodaar hoti to
mein baaz auqaat sakht khauf zada hojata tha. Aik raat mein itna khauf zada huwa
ke jism par larzah taari hogaya. Baba jee ne meri peshani par haath rakha aur
farmaya' ' darny ki koi baat nahi hai. Yeh mardan ghaib hain.' ' phir yeh baat
taqreeban rozana ka mushahida ban gayi ke huzoor Baba Sahib letey hue hain,
mein kamar daba raha hon aur koi sahib huzoor Baba Sahib ke samnay aakar
kharray hogaye hain. Mein ne aksar yeh bhi dekha ke yakayak chuka chond roshni
hogayi aur koi farishta Baba Sahib ki khidmat mein haazir huwa. Baba Sahib ne
kuch Hadayat den aur woh chala gaya .
Tazkira Qalandar Baba Aulia R.A
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Aisa
ensaan jis ke deedaa aitbaar aur chasham haqeeqat ke samnay har shye ki shayeeyat
utth gayi ho aur woh muratib wujood ko samajh kar un mein urooj karta rahay,
yahan taq ke aalam takveen se baala qadam rakhay aur maqam wahdaniyat ke
mushahiday mein ghark reh kar ahadiyat ki tafseel mein ain wahdat ka jamal
mushahida karkay maqam wahdat ki masti aur be kaify mein gum rehtay hue martaba
ahadiyat par wapas aajay. Is ke baad apne Muratib se judda hue baghair ahadiyat
ke mushahiday mein mehv rahay. Phir insani martabay par poanch kar abodit ka
maqam haasil kere, yahan taq ke is ka urooj o nuzool aik hojaye. Juzw mein kul
aur kul mein juzw ko dekhe. Phir un tamam se mustaghni hokar herat Mahmooda
yani suroor mein rahay to is ko “Qalandar” kehte hain .