Topics
Mujhe
kabootarr paalne ka shoq tha. Aik martaba aik fakhta aakar kabutaro ke sath
dana chugnay lagi. Aik kabootarr ke sath is ka jora mila diya gaya. Is ke andon
se jo do bachay niklay woh apni khoubsurti mein yaktaa aur munfarid they. Paron
ka rang gehra siyah aur baqi jism safaid tha. In ke andar is qader kashish thi
ke jo daikhta tareef kiye baghair nah rehta. Shamat aamaal, aik roz subah
saweray billi ne aik kabootar ko pakraا
aur chhat par le gayi. Mein ne jab billi ke mun mein yeh kabootarr dekha to
mein is ke peechay dora. Oopar poanch kar mein ne dekha ke billi ne kabootarr
ke baal o par allag kardiye hain aur baithi usay kha rahi hai. Gussa to bohat
aaya magar phir socha ke kabootarr to ab mar hi chuka hai, billi ko hi pait
bharnay diya jaye aur jab yeh kabootarr khachke gi to usay saza dun ga. Yeh khayaal
atay hi mein neechay chala gaya. Lekin mujhe itna shadeed sadma tha ke meri
aankhon se ansoo jari hogaye. Huzoor Baba Sahib qibla pehli manzil ke kamray
mein takhat par tashreef farma they. Mein ne hazrat se ehtijajan arz kya ke
billi ne mera kabootar mar diya hai. Huzoor Baba Sahib ne farmaya aisa hi hota
hai. Mein ne jawabun arz kya ke aap ke hotay hue billi mera kabootarr le jaye,
yeh baat meri samajh mein nahi aati. Yeh kehnay ke baad mein dil bardashta
bawarchi khanaay mein jaakar nashta tayyar karne laga. Mere huzoor baba jee ne
mujhe aawaz di lekin ghusse ne mujhe gustaakhi par majaboor kardiya aur mein ne
koi jawab nahi diya. Dobarah aawaz di. Woh bhi mein ne un suni kar di. Yeh is
zamane ka waqea hai jab bhai mohsin sahib bhi mere sath rehtay they. Huzoor Baba
Sahib ne bhai mohsin ko aawaz di aur mere baray mein daryaft kya. Unhon ne kaha
ke khwaja sahib ko kabootarr ke marnay ka bohat sadma hai aur woh bawarchi
khanaay mein baithy ro rahay hain. Huzoor Baba Sahib un ki is baat se mutasir
hue aur farmaya : “Khwaja sahib ko bulaao aur un se kaho ke inka kabootarr
agaya hai.”
Bhai mohsin sehan mein aeye to dekha ke woh kabootarr dosray kabutaro ke sath
mojood tha. Bhai mohsin ne yeh baat mujhe batayi to mein ne is ko mazaq par
mhmol kya aur samgha ke yeh baat meri dil joi ke liye keh rahay hain. Lekin jab
unhon ne sanjeedgi se kaha ke aap bahar jaakar dekhen to sahi to mein be
yakeeni ke aalam mein aُth kar sehan
mein aaya. Dekha to kabootarr mojood tha. Kabootarr ko dekhte hi mein dobarah
dora huwa chhat par gaya aur takhat ke neechay dekha to wahan khoon ke dhabbay
aur kuch par parre hue they. Yeh dekh kar mujhe shadeed nedamat aur sharmindagi
hui. Mein ne neechay aakar huzoor Baba Sahib ke Peer pakar liye aur apni
gustaakhi ki maffi chahi. Shaam honay se pehlay pehlay saaray kabootarr taqseem
kardiye .
Tazkira Qalandar Baba Aulia R.A
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Aisa
ensaan jis ke deedaa aitbaar aur chasham haqeeqat ke samnay har shye ki shayeeyat
utth gayi ho aur woh muratib wujood ko samajh kar un mein urooj karta rahay,
yahan taq ke aalam takveen se baala qadam rakhay aur maqam wahdaniyat ke
mushahiday mein ghark reh kar ahadiyat ki tafseel mein ain wahdat ka jamal
mushahida karkay maqam wahdat ki masti aur be kaify mein gum rehtay hue martaba
ahadiyat par wapas aajay. Is ke baad apne Muratib se judda hue baghair ahadiyat
ke mushahiday mein mehv rahay. Phir insani martabay par poanch kar abodit ka
maqam haasil kere, yahan taq ke is ka urooj o nuzool aik hojaye. Juzw mein kul
aur kul mein juzw ko dekhe. Phir un tamam se mustaghni hokar herat Mahmooda
yani suroor mein rahay to is ko “Qalandar” kehte hain .