Topics
Mere
aik bohat Aziz dost ne israar karkay mujhe is baat par majaboor kya ke mein
inhen satta ka number btadon. Raat ko asbaq se farigh honay ke baad mein ne istakharey
ki woh dua parhi jis se baydaari mein halaat munkashif ho jatay hain. Dekha ke
aik parda hai jaisay cinema ki screen hoti hai aur is par number likhay hue
hain. Abhi nmbron ko achi terhan zehan nasheen nahi krpaya tha ke mere aur
parday ke darmain Baba Sahib ka haath agaya nihayat ghsili aawaz mein kaha. “kya
karta hai ?” is ke sath hi meri nazron ke samnay se parda gayab hogaya .
Tazkira Qalandar Baba Aulia R.A
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Aisa
ensaan jis ke deedaa aitbaar aur chasham haqeeqat ke samnay har shye ki shayeeyat
utth gayi ho aur woh muratib wujood ko samajh kar un mein urooj karta rahay,
yahan taq ke aalam takveen se baala qadam rakhay aur maqam wahdaniyat ke
mushahiday mein ghark reh kar ahadiyat ki tafseel mein ain wahdat ka jamal
mushahida karkay maqam wahdat ki masti aur be kaify mein gum rehtay hue martaba
ahadiyat par wapas aajay. Is ke baad apne Muratib se judda hue baghair ahadiyat
ke mushahiday mein mehv rahay. Phir insani martabay par poanch kar abodit ka
maqam haasil kere, yahan taq ke is ka urooj o nuzool aik hojaye. Juzw mein kul
aur kul mein juzw ko dekhe. Phir un tamam se mustaghni hokar herat Mahmooda
yani suroor mein rahay to is ko “Qalandar” kehte hain .