Topics
Kabhi
kabhi yeh daikhta tha ke huzoor baba jee ke kamray mein aik jim Ghafeer hai. Jis
mein aurtain aur mard shaamil hain. Baar baar yeh manzar dekhnay ke baad mein
ne poocha ke yeh kon log hain? Baba Sahib ne farmaya' “yeh sab tumahray Peer
bhai aur Peer behnain hain.” kaafi arsay baad is raaz par se parda uttha aur
mein yeh samajhney ke qabil hogaya ke yeh sab noo ajna ki makhlooq thi .
Tazkira Qalandar Baba Aulia R.A
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Aisa
ensaan jis ke deedaa aitbaar aur chasham haqeeqat ke samnay har shye ki shayeeyat
utth gayi ho aur woh muratib wujood ko samajh kar un mein urooj karta rahay,
yahan taq ke aalam takveen se baala qadam rakhay aur maqam wahdaniyat ke
mushahiday mein ghark reh kar ahadiyat ki tafseel mein ain wahdat ka jamal
mushahida karkay maqam wahdat ki masti aur be kaify mein gum rehtay hue martaba
ahadiyat par wapas aajay. Is ke baad apne Muratib se judda hue baghair ahadiyat
ke mushahiday mein mehv rahay. Phir insani martabay par poanch kar abodit ka
maqam haasil kere, yahan taq ke is ka urooj o nuzool aik hojaye. Juzw mein kul
aur kul mein juzw ko dekhe. Phir un tamam se mustaghni hokar herat Mahmooda
yani suroor mein rahay to is ko “Qalandar” kehte hain .