Topics
Ehad wasti ke baaz musanifeen ney likha hai ke woh pakbaaz aurat jo
khud suzi kar ke apne aur apne shohar ke gunaaho ka kaffara ada kar deti hai
aur is ka shohar teen crore pachaas laakh saal taq' ' jannat' ' mein par
musarrat zindagi busr karen ge.
Chunkay bewa aurat ki zindagi bheer bkryon aur kuttay billiyon se
bhi badter bana di jati thi is liye woh bhook, ta'an o tasnee, khangi ghulami
se bachney ke liye mout ko zindagi par tarjeeh deti thi.
Chain mein bhi aurat izzat o ehtram se mahroom thi. Chain ke hukma
o ulama ka khayaal tha ke' ' aurat' ' mard ke muqablay mein nihayat haqeer o
zaleel shye hai. Shakwat o adawat, khud gharzi aur khud satayi se maamoor hai.
Aurat aisay phal ki terhan hai jo dekhnay mein khobsorat aur zaiqay mein
kaarvan hai.