Topics

HAZRAT AFIRA ALAABD (R.A)

Sahib dil aur sahib gudaaz theen. Ziyada ronay se benaye chali gayi thi. Kisi ne kaha' ' andha hona bhi kaisi bad naseebi hai.' ' aap ne farmaya ke' ' khuda  ke deedar se mahroom rehna is se barri bad naseebi hai.' '

Aik din aap ke paas kuch khawateen ayen. Un mein se aik aurat apni waza qata se hindu maloom hoti thi aur ro rahi thi. Aap ne usay apne paas bulaya aur ronay ka sabab poocha. Is ne rotay hue jawab diya.' ' Bibi! Mein hindu hon aap ki bohat tareef suni hai. Aik museebat mein girftar hon. Aap mera aik kaam kar den.' '

Aap ne farmaya :

'' Kya baat hai. Kaho.' '

Aurat ne kaha ke' ' mera larka andha hai is ko roshni dila do.' '

Aap ne jawab diya.' ' mein tabeb nahi hon kisi mualij se ilaaj karao.' ' aurat ne arz kya :

'' Bibi! Mein itna ilaaj kara chuki hon ke ab ilaaj par se aitbaar uth gaya hai. Mein to aap ki dua lainay ke liye haazir hui hon.' '

Aap ne is ke haq mein duaye kher kar di. Aurat ne betay ko seenay se lagaya aur khushi khushi apne ghar chali gayi. Larka bhi is ke sath chalne laga. Aik jagah thokar lagi aur zameen par gir gaya. Maa ne tarap kar usay uthaya. Larke ki ghair mamooli haalat dekh kar is se poocha,' ' kya

Baat hai beta ?' ' larke ne apni dono ankhen milein aur khushi se chalaya ,

'' Mataa jee !

Mujhe nazar aa raha hai. Mein dekh raha hon. Mein sab kuch dekh sakta hon.' '

Maa khushi se Sarshar Dobarah Hazrat Afira aulia baad ke paas pohanchi aur poora waqea suna kar kaha' ' mein to soch bhi nahi sakti thi ke mere larke ki ankhen roshan ho jayen gi.' '

Hazrat Afira ne jawab diya.

'' Roshni to Allah ne di hai mein ne to kuch nahi kya. Thokar kha kar is ki benaye gayi thi thokar se hi wapas aa gayi.' '

Hikmat O Danayee

* jis ki ankhen Allah ke deedar se mahroom hon woh sab se bara badnaseeb hai.

* Allah ko' ' pyar' ' se yaad karo, jism o jaan mein latafat barh jaegi.

* kaam shuru karna insaan ka wasf hai aur is ki takmeel Allah ki meharbani hai.

* kisi ko mayoos nah karo. Par umeed raho ge.

* kisi ki dil aazari nah karo. Farishtay tumahray liye dua karen ge.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI