Topics
Aap barri ibadat guzaar, parhaiz gaar, som o salaat ki paband aur
tohjdguzaar theen, ramadaan ke alawa
nfli rozay kasrat se rakhti theen, duroood shareef kasrat se parha karti
theen.
Jab un ka beta faut ho gaya to bohat udaas rehne lagi theen. Khawab
mein Syedna Huzoor (s.a.w) ki ziyarat
naseeb hui. Aap (s.a.w) ne
ramaaya:
'' Ranjida nah ho Allah tumhe saadat mand beta ataa farmaiye ga.' '
Jab betay ki wiladat hui to aap ne is ki taleem o tarbiyat par
khaas tawajah di. Betay ko shoq hua ke Aap (s.a.w) ka deedar kere, betay ne maa
se is qalbi khwahish ka izhaar kya. Amma bi ne parhnay ke liye aik dua bta di.
Kehte hain ke betay ne jumaraat ki shab khawab mein dekha ke walida farma rahi
hain ke mein tumahray intzaar mein hon, aao tum ko khidmat ikdaas (s.a.aw) mein
paish karoon, mera haath pakar kar in hazart (s.a.w) ki khidmat mein le gayeen,
mein ne dekha ke charon taraf log kharray hain aur Rasool (s.a.w) kuch likhwa rahay hain aur woh log
likh kar atraaf aalam mein bhaij rahay hain.
Meri walida ne Huzoor (s.a.w) ki khidmat mein haazir kya ke ya
Rasool (s.a.w) yeh mera wohi beta hai jis ki aap ne basharat
di thi, Rasool (s.a.w) meri taraf dekh kar muskuraye aur farmaya :
'' Haan yeh wohi larka hai.' '
* Doosron ki islaah ke liye is waqt kuch kya ja sakta hai jab aadmi
khud sahib amal aur sahib kirdaar ho.