Topics

BIBI ANEEZAH (R.A)

Aap kaneez theen. Som wa salah ki paband theen. Allah Taala  se munajat kartin theen to aawaz mein dard bhar jata, munajat karte hue aik raat dua mangi :

'' Ae mere mabood! Aap ko mujh se mohabbat ki qisam mujh par reham kijiyej.' '

Un ka maalik yeh sun raha tha woh bola.

'' Is terhan nahi yun keh, ae Allah ! Tujh ko mujh se mohabbat rakhnay ki qisam.' '

Bibi kanza  ne kaha :

'' Allah ki mujh se mohabbat hi to hai jo mein ibadat mein masroof hon.' '

Phir bolein :

'' Ae Allah ! Mera aur aap ka maamla ab taq chhupa raha ab makhlooq ko khabar hogayi hai ab mujhe apne paas bulaa le.' '

Yeh keh kar Allah ho ki zarb lagai aur jaan, jaan afreen ke supurd kar di.

Hikmat O Danayee

* jahan shak hai wahan se yaqeen chala jata hai.

* yeh Allah Taala  ki mujh se mohabbat hi to hai jo mein ibadat mein mashgool hon.

* woh bandah jo Allah se ziyada doosri cheezon ko aziz rakhta hai Allah ka sacha bandah aur shedai nahi hai.

* aik aadmi zabani daawa karta hai ke mein apne mehboob se mohabbat karta hon lekin jab eesaar aur qurbani ka waqt aata hai to woh apne qoul mein sacha saabit nahi hota, is ki mohabbat qabil tasleem nahi hai.

* Allah Taala  se jo log mohabbat karte hain un se Allah Taala  bhi mohabbat karta hai aur jab Allah Taala  kisi bande se mohabbat karte hain to is ka dil mohabbat se maamoor ho jata hai, mohabbat ki yeh khusbhoo samawaat aur zameen par muheet ho jati hai, zameen ki har makhlooq chahay woh ensaan ho, parind ho, charind ho, darinda ho, darakht ho, phool ho, baadal ho, hua ho is shakhs se mohabbat karne lagti hai.

* Huzoor Akram (s.a.w) ka irshad hai :

'' Mar jao marnay se pehlay.' '

'' Mar jao mar jany se pehlay.' ' ka mafhuum yeh hai ke dunyawi zindagi mein rehtay hue marnay ke baad ki zindagi ka ilm haasil kar lau jab marnay ke baad ki zindagi ka ilm haasil ho jata hai to ensaan ke oopar se mout ka khauf khatam ho jata hai.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI