Topics

HAZRAT SHADANA (R.A)

Shadana Sahibaa ki taqreer ka aik makhsoos andaaz tha. Douran khatabat behtareen ashaar padti theen. Khush al haan theen. Aap ka khitaab suneney ke liye barray barray ulama haazir hotay thay. Bachiyon ko khaas tor par ilm sikhati theen aur un ki tarbiyat ko poori qoum ki tarbiyat kehti theen. Langar ka khaas ihtimaam karti theen.

Aik dafaa langar mein logon ki bohat barri tadaad ne shirkat ki. Mulazimo ne bataya ke khana kam par gaya hai.

Aap ne farmaya :

'' Bachon ko sab se pehlay khana khilaya karo. Yeh Allah miyan ke baagh ke phool hain.' '

Phir Bibi Shadana khanay ki taraf tashreef le gayeen. Aap ne aik daig mein haath dala aur kaha mein to khana mojood hai. Sab ne shikam sair ho kar khana khaya.

Aik martaba aik khatoon se farmaya :

'' Maa par bachay ka yeh haq hota hai ke usay doodh pilaya jaye. Quran ne maa ka yahi ahsaan yaad dila kar maa ke sath ghair mamooli husn sulooq ki takeed ki hai. Bacha maa ke pait mein no mahinay tak maa ke khoon se parwarish paata hai. Bacha wohi zehen aur wohi khayalat apanata hai jo maa ke dimagh mein gardish karte rehtay hain. Maa ka farz hai ke woh bachay ko apne doodh ke aik aik qatray ke sath Allah aur iss ke Rasool  (s.a.w) ke tarz amal ka sabaq deti rahay.

Doodh ke har ghoont ke sath nabi barhaq (s.a.w) ka ishhq aur deen ki mohabbat bhi is ke saraapaa mein is terhan undail day ke qalb o rooh mein Allah ki azmat aur Rasool  (s.a.w)  ki mohabbat rich bas jaye. Is khushgawar fareeza ko injaam day kar jo rohani sukoon aur suroor haasil hota hai is ka andaza unhi maaon ko hota hai jo apne bachon ki parwarish Allah ke liye karti hain.' '

Hikmat O Danayee

* jo ankhen mehboob ke deedar se mahroom hon woh ankhen ashkon se khaali nahi hoten.

* bacha wohi zehen aur wohi khayalat apanata hai jo maa ke dimagh mein gardish karte rehtay hain.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI