Topics

Hazrat Bibi Hajra

Hazrat Ibrahim(a.s) Ki biwi Hazrat Bibi Hajra ke batan se jab Hazrat Ismayl (a.s) Ki wiladat hui to Hazrat Ibrahim (a.s) Ko Allah Taala  ki janib se hukum hua ke apni biwi aur bachay ko Makkah ke sehraa mein chore aao. Is waqt Makkah sehraye arab ki banjar zameen ka aik tukda tha. Jahan ritile teelon ke siwa kuch nah tha.

Hazrat Ibrahim (a.s) Ne jab Bibi Hajra se farmaya ke mein tumhe Makkah ke sehraa mein chorney ja raha hon to aap ne sirf yeh poocha ke

'' Kya aap yeh kaam Allah ke hukum se kar rahay hain ?' '

Hazrat Ibrahim (a.s) Ne farmaya :

'' Be shak mera yeh amal mere rab ke hukum ki tameel mein hai.' '

Bibi Hajra ne farmaya :

'' Aap mujhe Allah ke hukum ki tameel mein farmanbardar payen ge.' '

Hazrat Ibrahim (a.s) Allah ke hukum par apni biwi aur nozaida bachay ko sehraa mein chore kar chalay gaye. Chand dinon ke baad jab khanay peenay ka zakheera khatam ho gaya aur pyaas se bachay ki zabaan halaq ko lag gayi to maa ke andar kaleqat ki fitrat be qarari ki soorat mein mutharrak hui. Unhon ne intehai be qarari mein safa aur marwah ke darmiyan saat chakkar lagaye. Saat chakkar ke baad woh marwah se safa tak pohnchain jahan bacha leyta hua tha. Dekha ke is ki airee ke neechay chashma ubal raha hai.

Jis terhan Hazrat Ibrahim(a.s) Ne Allah ki farmabardari ka muzahira kiya isi terhan aik aurat Hazrat Hajra Raazi Bah Raza rahen aur Allah Taala  ne un ke amal ko itna pasand farmaya ke hajion par safa aur marwah ke chakkar farz kar diye.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI