Topics
Bibi Kardeeh basreh ki rehne wali theen. Bibi Shadana ki khaas
shagird theen. Ibadat aur riyazat mein yaktaiee rozgaar theen. Aik dafaa Hazrat
shadana ki khidmat mein haazir theen ke ongh aa gayi. Hazrat Shadana ne jagaya
aur farmaya :
'' Ae kardeeh! Yeh sonay ki jagah nahi hai. Sonay ki asal jagah
qabrustan hai.' '
Hazrat Shadana ki qurbat ki wajah se un ka dil anwar alhee se
maamoor tha. Makhlooq se bohat mohabbat karti theen.
Aik martaba aik aurat apni larki ko le kar aap ke paas aayi. Bemari
se is ke dono ghatney jarr gaye thay. Aur woh chalne phirnay se mazoor ho gayi
thi. Aurat ne larki ko aap ke samnay bitha diya aur rotay hue kehnay lagi. Mein
aik bewa aurat hon. Mere chhootey chhootey bachay hain. Mein ne is ka bohat
ilaaj karaya magar har taraf se mayoos ho kar aap ke paas aayi hon. Aap Allah
ki dost hain meri beti ko acha kar den.
Bibi kardeeh ne larki ke sir par haath rakha. Bibi kardeeh ne
farmaya :
'' Beti khari ho jao.' '
Aap ki dua se larki peeron se chalti hui ghar gayi.
* sonay ki asal jagah qabrustan hai.
* Allah ki nazar mein sab insaan barabar hain.
* Allah ko razaq maan lo. Rozi tumhe khud talaash kar le gi.