Topics
Zamana jahliat mein aksar mard aurton ko zad o kob karte they aik
martaba aik ansari ne apni biwi ke mun par thapar mara. Biwi ne Rasool Allah ki khidmat mein haazir ho kar shohar ki
shikayat ki. Rasool (s.a.w) ne hukum diya is ansari ko bhi waisa hi
thapar mara jaye.
'' Aur jin aurton se tumhe fahaashi ka khatrah hai to tum inhen
tanbeeh karo aur inhen un ke bistaron mein akela chore do aur inhen ghar se
bahar jaane se rok do.' '
( surah al-nisaa : 34)
Yahan ghar se bahar niklny par pabandi laganay ko saza qarar diya
gaya hai. Kyunkay aam halaat mein aurton aur mardon ko gharon se niklny ki
poori azaadi hai.
Is baray mein mardon aur aurton ke liye aik hi qisam ke ehkamaat
hain ke jab woh apne gharon se kaam kaaj ke liye jayen to apni nazron ko neecha
rakhen yani quran ki aayat ke mutabiq aurton ko gharon mein band kar ke rakhna
aik saza hai aur yeh saza inhen is waqt di jaye jab woh kisi muamlay mein sar
kashi ka rawayya ikhtiyar karen.
Mukhtasir yeh ke shariat islami mein kisi mard ko hargiz yeh ijazat
nahi hai ke woh apni biwi ko maaray betay. Lekin agar mardon ya aurton mein se
koi bhi fahaashi ka irtikaab kere to islami muashray mein dono ke liye saza
hai.
'' Un ko zamana adat mein isi jagah rakho jahan tum rehtay ho.
Jaisi kuch bhi jagah nahi muyassar ho aur inhen tang karne ke liye un ko nah
satao. Aur agar woh haamla hon to un par is waqt taq kharch karte raho jab taq
un ka waza hamal ho jaye. Phir agar woh tumahray ( bachay ko ) doodh pilaaye to
un ki ujrat inhen do aur bhallay tareeqay se ( ujrat ka maamla ) bahami guft o
shaneed se tey kar lau.' '
( surah talaq :4 )