Topics
Qudrat ne insani shaoor ko fitrat ke mutabiq ilm o feham se aarasta
kya hai. Pehlay paighambar Hazrat Adam (a.s) Se le kar aakhri nabi Hazrat
Mohammad Rasool (s.a.w) tak zameen par aik laakh chobees hazaar
paighambar tashreef laaye. Tamam payghambaroon ne islam aur deen haq ki
tableegh ki. Har paighambar ne toheed ka parchaar kya aur logon ( aurton aur
mardon ) ko shirk aur buut parasti se mana kya. Quran se pehlay ki aasmani
kitabon aur saheefon mein haq o sadaqat hi ki baatein duhrai gayi hain.
Rasool (s.a.w) ka irshad pak hai :
'' Mein koi nai baat nahi keh raha hon. Mein wohi kehta hon jo mere
bhai payghambaroon ne kaha hai.' '
Har aasmani kitaab ne aurat aur mard ko yaksaa haqooq ataa kiye
hain.
Quran kareem mein irshad hai.
'' Be shak musalman mard aur musalman aurtain aur imaan walay aur
imaan waliyan aur farmanbardar mard, farmanbardar aurtain, sachey mard, sachhi
aurtain, sabr karne walay mard, sabr karne wali aurtain aur aajzi karne walay
mard, aajzi karne wali aurtain, khairaat karne walay mard, khairaat karne wali
aurtain, rozay rakhnay walay mard, rozay rakhni wali aurtain, apni asmton ki hifazat
karne walay mard, apni asmton ki hifazat karne wali aurtain aur Allah ko bohat
yaad karne walay mard aur Allah ko bohat yaad karne wali aurtain un sab ke liye
Allah Taala ne bakhshish aur bara ajar
tayyar kar rakha hai.' '
( surah ahzaab : 35)