Home
About Us
Library
Audios
Videos
Books
Topics
Spiritual Healing
Qalandar Shaoor
Roohani Digests
Useful Links
Contact Us
Topics
Home
Topics
SEARCH TOPICS
SEARCH
Cheeep.(Chanbal)
En amraaz mein khushk kharish ke liye tayyar kardah tail lagana mufeed hai. Neelay rang ki shu’ayen, cheep ya chanbal par din mein aik baar aik ghanta taq daali jayen. Neelay aur zard rang ki shu’aon ka pani din mein dobaar pilaya jaye.
Jism Per Waram
Esmarz mein neelay rang aur surkh rang ka pani din mein aik aik baar dena aur poooray jism par baingni rang ki shu’ayen mufeed hain.
Jism Par Aablay
Aablay barray hon ya chhootey un mein shadeed jalan aur dard ho ya na ho. Aablon ka rang siyah ho ya neela sab ka ilaaj naranji rang ki shu’ayen aur naranji rang ka pani hai.
Jism Ke Kisi Hisse Ka Su’n Ho jana
Esmarz mein jism mein khoon ko mutharrak karne ke liye surkh rang ke pani ki khorakin subah o sham dena chahiye aur surkh rang ki shua’a uzoo maoof per 10 se 15 minute taq daalna chahiye. Uzoo maoof par surkh rang ke pani mein guddi bigho kar bhi...
Jism Ke Kisi Hissay Ka Phool Jana
Esmarz mein surkh rang ke pani ki khorakain aur jism par surkh rang ki shua’a daalna ya surkh rang ke pani mein guddi bigho kar esuzoo per rakhi ja sakti hai.
Jism Ka Bohat Ziyada Dubla Hona
Eska sab’bab jism mein surkh rang ka kam hona hai eskay liye surkh rang ka pani aur jism par surkh rang ki shua dalni chahiye. Chunkay surkh rang khoon ko mutaharik aur mushtayel karta hai aur esliye pandrah saal se kam umar walon ke liye bajaye...
Jalaq ( Madah Toleed Ko Haath Se Zaya Karna )
Esfeal qabeeh se mareez ke jism mein ghair zurori hiddat aur garmi paida ho jati hai. es ke dafey ke liye aasmani rang ke pani ki khorakin pilana aur aasmani rang ki shu’ayen reerh ki haddi par daalna mufeed ilaj hai.
Jaryaan
Yeh bohat mozi marz hai aur mareez ko aahista aahista be jaan kar deta hai. es ke liye jamni rang ki shua pandrah beesminute taq reerh ki haddi per dalna mufeed hai. eske ilawa jamni rang ki sheeshi mein tayyar kiya huwa pani ya doodh char char o...
Dairiyaa ( Takhma )
Yeh zard rang ke pani se ruk jata hai. Barron ke liye 22 oons, din mein chaar martaba aur bachon ke liye umar ke mutabiq khoraak ka taayun karen.
Tap E Diq
Tapay diq ke shuru mein surkh rang ka pani pilana aur phephron par surkh rang ki shua daalna chahiye. Bad mein subah niilii sheeshi ka pani aik tola chaar ghantay ke baad naranji rang shu’aon ka pani aik tola aur phir chaar ghantay ke baad naranj...
Pishaab Mein Shukar Aana. Zyabitis Shukri
Esmarz mein zard rang ki roshni reerh ki haddi ke joor par pandrah beesminute taq daalain, es ke baad aik minute taq baiganee rang ki shua reerh ki haddi par daalain. Subah ke waqt aik oons zard rang ka pani aur rat ko sotay waqt neelay rang ka p...
Pishaab Ka Barbar Aana
Yeh marz jism mein zard aur surkh ya naranji rang ke ziyada ho jane ki wajah se paida hota hai. eske liye bhi beganni rang ke pani ki khorakain subah wa sham pilana chahiye zayad’dti ki soorat mein dopehar ke waqt aik khoraak ka izafa...
Sotay Mein Pishaab Nikal Jana
Bachon mein yeh bemari aik umar par pounchanay ke baad az khud dooor ho jati hai. Agar yeh marz barri umar taq baqi rahay to masana par arghawani rang ya surkh rang ki roshni daalna azbas mufeed hai.
Pishaab Ki Bemariyan Pishaab Ka Takleef Se Aana
Baiganee rang ke pani ki khorakhon se yeh shikayat door ho jati hai. Pishaab ke rasta mein waram ya androoni jhilli mein kharaash ho to woh bhi jati rehti hai.
Paichis
Paichis saada ho ya khooni, dono sooraton mein antriyon mein kharaash eska sabab hota hai. Zard ya naranji rang ke pani se yeh marz foran dooor ho jata hai. Pani ki khorakin marz ki noiyat ke mutabiq dainee chahiye, yani marz ki shiddat mein do d...
Paicheeda Bemariyan Jo Samajh Mein Nah Aati Hon
Agar mareez kabhi bemaar aur kbhi tandrost ho jata ho ya thora sa farq ho kar barbar bemaar ho jata ho aur yeh pata nah chal sakay ke asal marz kya hai to es soorat mein surkh rang ke pani ka istemaal mufeed hai.
«
1
2
...
159
160
161
162
163
164
165
...
556
557
»
Searching, Please wait..