Topics
Fajr ki azaan ke foran baad.
بِسْمِ اللَّـهِ الرَّحْمَـٰنِ
الرَّحِيمِ
اِفْتَحْ اِفْتَحْ اِفْتَحْ
BEISM ALLAHREHMAN RAHEEM
So martabah parh ker aankhey band karlein aur eis mareez ka tasawur
karein jeis ke barey mein maloomat hasil karni hey mareez ki kaifiyat zehn per
munkashif ho jaye gi.Ager mareez
khud maloom karna chahey ke
marz kya hey to yeh amal ker ke apne dil ke ander dekhey.Zehn mein marz ki noyeeyat
aa jaye gi.
Keisi mareez ka
elaaj maloom karna ho to yehi amal raat ko soney se paishter shumal ki tarf monh
ker ke parhey.Keisi se guftugoo na karein aur so jayen jab tak halaat ka inkeshaf
na ho yeh amal rozana kartey rahein.Khuaab mein ya keisi bhi tareekey se inkeshaf
ho jaye ga
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.