Topics

IJAAZAT AUR KI TAAWEEZ

Har aamel ko beltaba es baat per yaqeen hota hey ke mein jesey qoowat baksh doongah who bhi meri tarhan aamel ho jaye ga.Akser dekha gaya hey ke kisi aamel ne kisi ko apna amal baksh diya hey.jesey bakhshna hey os ki tabiyat bhi wohi ban jati hey jo aamel ki hey.Eik tabiyat ka dosri tabyat mein saraaiyat kar jana bhi admi ka nafsiyati khaasa hey.Asal amal to boht hi shaz hota hey albata bakshey hooye aamel kafi paye jatey hain.Bakshey hooye aamel hazraat ke yaqeen mein yeh baat rasikh ho jati hey ke ager hum aisa karein gey to aisa hi hoga.Hum yeh baat bata chukey hain ke kaamyabi madarij yaqeen ki qoowat per monhasir hai.

Eis kitab se faayeda othaney ke liye moaalij khuwa khud mareez ho ya kisi dosrey ka elaaj karey.Giyarah giyarah(11) maratbah awal o aakhir dorood shareef parhey aur eik martabah “ بِسمِ اللہِ اَلْوَاسیعُ جَلَ جَلَ لَہُ Besmillah e al waseyo jalla jalla lahoo” parh kar haaton per dam kar ke teen bar haath chehrey per pherey.Ab meri taraf se es ko es kitab ke amaliyat ki ijazat hey.                                                                                                    Taaweez khod estemal karney ya kisi doosrey ko likh ker deney ki soorat mein taaweez ki zakaat do rupey khairaat ker dein ya es mareez ko jis ko taaweez diya gaya hey yeh hidayat kar dein ke who taaweez ki zakaat do rupey khairat kar de.

Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.