Topics
Kan ke ander hadi ke ooper baal hotey hey.Ager nazla kaan ki taraf
mustaklan rajoo rahey ya keisi doosri bemaari ki waja se yeh baal motey ho jayen
to awaaz ki lehrey in baalon ko itna naheun hila pati jitna samaat ke liye zaroory
hey.Nateejey mein admi kam sonney lagta hey.Bohat kam sunta hey ya bilkol behra
ho jata hey.Eis ke liye
RAAS O S SAMA AL MARAM" رَاسُ السَّمَعَ
الْمَراَمْ
Raat ko soney se pehley aur din mein zawal ke foran baad seedhey
hath ki choti ungli per dam ker ke kaan mein ghumayein yehi alfaaz kaghaz per
likh ker taaweez ki shakel mein aurtein(women)
galey mein pehney aur mard bazoo mein bandhein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.