Topics
Tali donon hathoon se bajti hey.Miyaan biwi donon baat be baat
lartey rahein to eis ghar ki fiza muqder ho jati hey aur aulaad ki tarbiyat
mein bara siqam waqey ho jata hey eis ka tadaruk eis tarhan karna chahiye ke
miyaan biwi donon mein se koi eik aulaad ki tarbiyat ki khatir eesaar karey aur
khamoshi ikhtiyaar karein.Woh misaal to aap ni sooni ho gi “Eik chup so ko
harai” bilfarz mahal ager donon mein se keisi ki tabiyat mein eesaar na ho to
wal kazimin
al ghaiza wal aafina anel naas e walla ho yo
hibol mohsineen |
وَالْکَاظِمِیْنَ الْغَیْظَ وَالْعَافِیْنَ عَنِ الْنَاسِ وَاللّٰہُ یُحِبُ الْمُحْسِنِیْنَ |
Her namaz ke baad so100 martabah parh ker eik ghoont
pani per dam ker ke piyein.
(Ayat ka tarjuma yeh hey “Jo loog gussa khatye hain aur logoon ko
muaf ker detey hain.Allah ehsaan karney waley aisey bandon se mohabat kerta hey”)
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.